Ashq Shayari, Do Chaar Aansoo

Tears Shayari in Hindi from a Sad Lover

Advertisement

Ashq Shayari, Do Chaar Aansoo

Do Chaar Aansoo Hi Aate Hain Palkon Ke Kinare Pe,
Warna Aankhon Ka Samandar Gehra Bahut Hain.
दो चार आँसू ही आते हैं पलकों के किनारे पे,
वर्ना आँखों का समंदर गहरा बहुत है।

Woh Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rahta Hai.
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rahta Hai.
वो अश्क बन के मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख़्स है पानी के घर में रहता है।

Aansoo Kabhi Palkon Par Bahut Der Nahi Rukte,
Ud Jate Hain Panchhi Jab Shaakh Lachakti Hai.
आँसू कभी पलकों पर बहुत देर नहीं रुकते,
उड़ जाते हैं पंछी जब शाख़ लचकती है।

Advertisement

Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyare Aansoo,
Meri Ankhoon Mein Na Aa Jaye Tumhare Aansoo.
देख सकता है भला कौन ये प्यारे आँसू,
मेरी आँखों में न आ जाएँ तुम्हारे आँसू।

Mera Shahar To Baarishon Ka Ghar Thehra
Yahan Ki Aankh Ho Ya Dil Bahut Baraste Hain.
मेरा शहर तो बारिशों का घर ठहरा,
यहाँ की आँख हों या दिल बहुत बरसते हैं।

Inko Kabhi Aankh Se Girne Nahi Deta Hun Main,
Usko Lagte Hain Meri Aankh Mein Pyare Aansoo.
इनको न कभी आँख से गिरने देता हूँ मैं,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।

Ghaas Mein Jazb Huye Honge Zamin Ke Aansoo,
Paanv Rakhta Hun Toh Halki Si Nami Lagti Hai.
घास में जज़्ब हुए होंगे ज़मीं के आँसू,
पाँव रखता हूँ तो हल्की सी नमी लगती है।

Advertisement

Ashq Shayari, Aansu Kisi Ki Yaad Ke

Ashq Shayari, Aankhon Ke Bhige Mausam

Comments