Hindi Gham Shayari

Read here Best Gham Shayari, Gam Bhare Status, New Gam Bhari Shayari, Best Gham Bhari Shayari, Gham Ki Shayari, Shayari on Gham, Shayari on Feeling of Sorrow in Love, Gham Bhare SMS, Latest Collection of Gham Bhari Shayari in Hindi and English font.

Gham Shayari, Dil Mein Kisi Ka Gam

Best Gham Shayari in Hindi

अब अगर खुशी मिल भी गई तो कहाँ रखेंगे हम,
आँखों में हसरतें हैं और दिल में किसी का ग़म।

Ab Agar Khushi Mil Bhi Gayi To Kahaan Rakhenge Hum,
Aankhon Mein Hasraten Hain Aur Dil Mein Kisi Ka Gham.

Gham Shayari in Hindi

तेरी एक खुशी की खातिर मैंने कितने गम छुपाये,
अगर मैं एक बार रोता तो तेरा शहर डूब जाता।

Teri Ek Khushi Ki Khaatir Main Ne Kitne Gham Chhupaaye,
Agar Main Ek Baar Rota To Tera Shahar Doob Jaata.

गमों को आबरू अपनी खुशी को ग़म समझते हैं,
जिन्हें कोई नहीं समझा उन्हें बस हम समझते हैं।

Ghamon Ko Aabroo Apani Khushi Ko Gham Samajhte Hain,
Jinhein Koi Nahin Samjha Unhein Bas Hum Samajhte Hain.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Kahan Se Humaare Gham Aate Hain

Hindi Mein Latest Gham Ki Shayari

अब भी मेरे ख्वाबों में सनम चले आते हैं,
वो क्या जाने कहाँ से हमारे गम आते हैं,
आज भी हम उसी मोड़ पर खड़े हैं,
जहाँ उसने कहा था कि ठहरो हम अभी आते हैं।

Ab Bhi Mere Khwaabon Mein Sanam Chale Aate Hein,
Wo Kya Jaane Kahan Se Humaare Gham Aate Hain,
Aaj Bhi Hum Usee Mod Par Khade Hain,
Jaha Usne Kaha Tha Ke Thhehro Hum Abhi Aate Hain.

कुछ लुटकर कुछ लूटाकर लौट आया हूँ,
वफा की उम्मीद में धोखा खाकर लौट आया हूँ,
अब तुम याद भी आओगी फिर भी न पाओगी,
हँसते लबों से ऐसे सारे गम छुपाकर लौट आया हूँ।

Kuchh Lutkar Kuchh Lutaakar Laut Aaya Hoon,
Wafa Ki Ummeed Mein Dhokha Khaakar Laut Aaya Hoon,
Ab Tum Yaad Bhi Aaogi Fir Bhi Na Paaogi,
Hanste Labon Se Aise Saare Gham Chhupakar Laut Aaya Hoon.

Advertisement

Apna Hi Gham Dekha Hai

Touching Hindi Quotes about Sorrow

Bas Apna Hi Gham Dekha Hai,
Tu Ne Kitana Kam Dekha Hai.
बस अपना ही ग़म देखा है,
तू ने कितना कम देखा है।

Bas Apna Gham Dekha Hai

Koi Shiqwa, Na Gham, Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.
कोई शिकवा, न गम, न कोई याद,
बैठे बैठे बस आँख भर आई।

Gham Diye Hain Hayaat Ne Hum Ko,
Gham Se Humne Hayaat Paayi Hai.
गम दिये हैं हयात ने हम को,
गम ने हम से हयात पायी है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Shayari Gham, Bikta Hai Gham

Best Gham Shayari in Four Lines

Bikta Hai Gham Hansi Ke Bazaar Mein,
Lakho Dard Chhupe Hote Hain Ek Chhote Se Inkaar Mein,
Wo Kya Samajh Payenge Pyar Ki Kashish Ko,
Jinhone Fark Hi Na Samjha Pasand Aur Pyar Mein.

बिकता है ग़म हँसी के बाजार में,
लाखों दर्द छुपे होते हैं एक छोटे से इंकार में,
वो क्या समझ पाएंगे प्यार की कशिश को,
जिन्होंने फर्क ही न समझा पसंद और प्यार में।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Tootne Ka Kis Ko Gham Nahi Hota

New Hindi Gham Shayari with Sad Sentiments

Maslhat Ke Dhaagon Ne Honthh See Diye Mere,
Varna Apne Tootne Ka Kis Ko Gham Nahi Hota.
मस्लहत के धागों ने होंठ सी दिए मेरे,
वर्ना अपने टूटने का किस को ग़म नहीं होता।

Gham Shayari - Tootne Ka Gham

Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Ravani Hai,
Khud Raah Bana Lega Behta Hua Paani Hai.
पत्थर के जिगर वालो ग़म में वो रवानी है,
खुद राह बना लेगा बहता हुआ पानी है।

Maine Saha Hai Gale Mil Kar Bichhadne Ka Gam,
Ai Mere Khuda Kisi Ko Aisa Gham Na Dena.
मैंने सहा है गले मिल कर बिछड़ने का ग़म,
ऐ मेरे खुदा किसी को ऐसा ग़म न देना।

[ Read More Shayaris ]

‹ Prev123456