Hindi Gham Shayari, Gham Ki Zulmat

Shayari about Sorrow of Dark Painful Nights

Advertisement

Teri Zulfon Ki Syaahi Se Na Jaane Kaise,
Gham Ki Zulmat Meri Raaton Mein Chali Aayi Hai.
तेरी ज़ुल्फों की स्याही से न जाने कैसे,
ग़म की ज़ुल्मत मेरी रातों में चली आई है।

Itna Bhi Karam Unka Koi Kam Toh Nahi Hai,
Gham De Ke Puchhte Hain Koi Gham Toh Nahi Hai.
इतना भी करम उनका कोई कम तो नहीं है,
ग़म दे के वो पूछते हैं कोई ग़म तो नहीं है?

Advertisement

Shayad Khushi Ka Daur Bhi Aa Jaye Ek Din,
Gham Bhi Toh Mil Gaye The Tamanna Kiye Bagair.
शायद खुशी का दौर भी आ जाए एक दिन,
ग़म भी तो मिल गये थे तमन्ना किये बगैर।

Har Haal Mein Hansne Ka Hunar Paas Tha Jinke,
Woh Rone Lage Hain Toh Koi Baat Toh Hogi.
हर हाल में हँसने का हुनर पास था जिनके,
वो रोने लगे हैं तो कोई बात तो होगी।

Gham-e-Hyaat Pareshan Na Kar Sakega Mujhe,
Ke Aa Gaya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka.
ग़म-ए-हयात परेशान न कर सकेगा मुझे,
कि आ गया है हुनर मुझ को मुस्कुराने का।

Advertisement

Gham Shayari, Apna Gham Bulate Hain

Gham Shayari, Mere Gham Ka ilaaj

Comments