Gham Shayari, Gham Ke Kisse

New Shayari on Sad Feeling of Sorrow in Hindi Font

Advertisement

Gham Shayari, Gham Ke Kisse

Kise Sunayein Apne Gham Ke Chand Panno Ke Kisse,
Yehan Toh Har Shakhs Bhari Kitab Liye Baitha Hai.
किसे सुनाएँ अपने ग़म के चन्द पन्नो के किस्से
यहाँ तो हर शख्स भरी किताब लिए बैठा है।

Gham Toh Hai Har Ek Ko Magar Hausle Hain Juda Juda,
Koyi Toot Kar Bikhar Gaya Koi Muskura Ke Chal Diya.
ग़म तो है हर एक को, मगर हौंसला है जुदा- जुदा,
कोई टूट कर बिखर गया कोई मुस्कुरा के चल दिया।

Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuchh Itna Kho Chuka Hun,
Tu Mil Bhi Agar Jaaye Toh Ab Milne Ka Gham Hoga.
तुझे पाने की कोशिश में कुछ इतना खो चुका हूँ,
तू मिल भी अगर जाये तो अब मिलने का ग़म होगा।

Advertisement

Hai Agar Tujhko Tawakko Main Bichhad Kar GhamZada Hun,
Toh Mujhe Samjha Nahi Tu Gham Rahega Bas Iss Baat Ka.
है अगर तुझको तवक्को मैं बिछड़ कर ग़मज़दा हूँ
तो मुझे समझा नहीं तू ग़म रहेगा बस इस बात का।

Aagar Raaton Mein Jaagne Se Hoti Ghamon Mein Kami,
Mere Daaman Mein Khushiyon Ke Siwa Kuchh Nahi Hota.
अगर रातों में जागने से होती ग़मों में कमी,
मेरे दामन में खुशियों के सिवा कुछ नहीं होता।

Ye Jo Gehre Sannate Hain Waqt Ne Sabko Baante Hain,
Thoda Gham Hai Sabka Kissa Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa.
ये जो गहरे सन्नाटे हैं वक्त ने सबको ही बाँटें हैं,
थोड़ा ग़म है सबका किस्सा थोड़ी धूप है सबका हिस्सा।

Raha Hai Sabika Gham Se Yahan Tak HumNashin Mujhko,
Khushi Ke Naam Se Bhi Ashq Aankhon Mein Bhar Aate Hain.
रहा है साबिका ग़म से यहाँ तक हमनशीं मुझको,
खुशी के नाम से भी अश्क आँखों में भर आते हैं।

 

Advertisement

Gham Shayari, Tere Gham Ki Hifazat

Gam Shayari, Gam Se Nijaat Kya Maangu

Comments