Gham Shayari, Mere Gham Ka ilaaj

Read Best Hindi Gham Shayari in 2 Lines

Advertisement

Gham Shayari, Mere Gham Ka ilaaj

Ab Tu Hi Koi Mere Gham Ka ilaaj Kar De,
Tera Gham Hai Tere Kehne Se Chala Jayega.
अब तू ही कोई मेरे ग़म का इलाज कर दे,
तेरा ग़म है तेरे कहने से चला जायेगा।

Gham-e-Ishq Ka Maara Hun Mujhe Na Chhedo,
Zubaan Khulegi Toh Lafzon Se Lahoo Tapkega.
ग़म-ए-इश्क का मारा हूँ मुझे न छेड़ो,
जुबां खुलेगी तो लफ़्ज़ों से लहू टपकेगा।

Advertisement

Duniya Ne Gham Hajaar Diye Lekin Ai Dost,
Maine Har Ek Gham Ko Hansi Mein Uda Diya.
दुनिया ने ग़म हजार दिए लेकिन ऐ दोस्त,
मैंने हर एक ग़म को हँसी में उड़ा दिया।

Muskurane Ki Ab Wajah Yaad Nahi Rahti,
Paala Hai Bade Naaz Se Mere Ghamon Ne Mujhe.
मुस्कुराने की अब वजह याद नहीं रहती,
पाला है बड़े नाज़ से मेरे गमों ने मुझे।

Kaun Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ai Dost,
SabKo Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya.
कौन रोता है किसी और की खातिर ऐ दोस्त,
सबको अपनी ही किसी बात पे रोना आया।

Shayaron Ki Basti Mein Kadam Rakha Toh Jana,
Ghamon Ki Mehfil Bhi Kamaal Jamti Hai.
शायरों की बस्ती में कदम रखा तो जाना,
गमों की महफिल भी कमाल जमती है।

Advertisement

Hindi Gham Shayari, Gham Ki Zulmat

Gham Shayari, Tere Gham Ki Chhanv

Comments