Gham Shayari, Na Milta Gham Toh

Latest Gham Shayari Collection in Hindi

Advertisement

Na Milta Gham Toh Barbadi Ke Afsane Kahan Jate,
Chaman Hoti Agar Duniya Toh Veerane Kahan Jate,
Chalo Achchha Hua Apno Mein Koi Gair Toh Nikla,
Sabhi Hote Agar Apne Toh Begaane Kahan Jate.
ना मिलता ग़म तो बर्बादी के अफसाने कहाँ जाते,
चमन होती अगर दुनिया... तो वीराने कहाँ जाते,
चलो अच्छा हुआ अपनों में कोई ग़ैर तो निकला,
सभी होते अगर अपने ही तो बेगाने कहाँ जाते।

Hindi Gham Shayari - Na Milta Gham Toh

Advertisement

Aisa Nahi Ki Tere Baad Ahl-e-Qaram Nahi Mile,
Tujh Sa Nahi Mila Koyi Log To Kam Nahi Mile,
Ek Teri Judayi Ke Dard Ki Baat Aur Hai,
Jinko Na Sah Sake Ye Dil Aise Toh Gham Nahi Mile.
ऐसा नहीं के तेरे बाद अहल-ए-करम नहीं मिले,
तुझ सा नहीं मिला कोई, लोग तो कम नहीं मिले,
एक तेरी जुदाई के दर्द की बात और है,
जिनको न सह सके ये दिल, ऐसे तो ग़म नहीं मिले।

Bik Gaye Jab Tere Lab Tujhko Kya Shiqwa Agar,
Zindagi Baada-o-Sagar Mein Behlaai Gayi,
Ai Ghame-Duniya Tujhe Kya Ilm Tere Waste,
Kin-Kin Bahaano Se Tabiyat Raah Pe Laayi Gayi.
बिक गये जब तेरे लब तुझको क्या शिकवा अगर,
ज़िंदगी बादा-ओ-सागर में बहलाई गई,
ऐ ग़मे-दुनिया तुझे क्या इल्म तेरे वास्ते,
किन-किन बहानों से तबियत राह पर लाई गई।

Hume Koyi Gam Nahi Tha Gam-e-Ashiqi Se Pahle,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pahle,
Hai Ye Meri BadNashibi Tera Kya Kasoor Isme,
Tere Gam Ne Maar Dala Mujhe Zindgi Se Pahle.
हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-ए-आशिक़ी से पहले,
न थी दुश्मनी किसी से तेरी दोस्ती से पहले,
है ये मेरी बदनसीबी तेरा क्या कुसूर इसमें,
तेरे ग़म ने मार डाला मुझे ज़िन्दग़ी से पहले।

Advertisement

Gham Shayari, Lekin Jiyega Kaun

Gham Shayari, Uss Shakhs Ka Gham

Comments