Gham Shayari, Tere Gham Ki Hifazat

Gham Shayari on Very Sad Feeling of Sorrow

Advertisement

Gham Shayari, Tere Gham Ki Hifazat

Log Parh Lete Hain Aankho Se Dil Ki Baat,
Ab Mujhse Tere Gham Ki Hifazat Nahi Hoti.
लोग पढ़ लेते है आँखों से मेरे दिल की बात,
अब मुझसे तेरे गम की हिफाजत नहीं होती।

Yeh Mayoos Safar Aur Yeh Ghamgeen Shaam,
Main Ruk Toh Jaaun Magar Koi Rokta Nahi.
ये मायूस सफर और ये ग़मगीन शाम,
मैं रुक तो जाऊं मगर कोई रोकता नहीं।

Mujhe Bheekh Ki Khushiyan Pasand Nahin,
Main Jeeta Hun Apne Ghamo Ke Raaj Mein.
मुझे भीख की खुशियाँ पसंद नहीं,
मैं जीता हूँ अपने ग़मों के राज में।

Advertisement

Nikal Aate Hain Aansoo Hanste Hanste,
Yeh Kis Gham Ki Kasak Hai Har Khushi Mein.
निकल आते हैं आँसू हँसते हँसते,
ये किस गम की कसक है हर खुशी में।

Usey Khone Ka Gham Toh Bahut Hai Lekin,
Hum Usse Paane Ke Asbab Kahan Se Laate .
उसे खोने का ग़म तो बहुत है लेकिन,
हम उसे पाने के असबाब कहाँ से लाते।

Pee Liya Gham Bhi Humne Sharab Soch Kar,
Bhool Gaye Unhein Ab Ek Khwab Soch Kar.
पी लिया ग़म भी हमने शराब सोचकर,
भूल गए उन्हें अब एक ख्वाब सोचकर।

Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtraam Kiya,
Bade Tapaak Se Gham Ne Mujhe Salaam Kiya.
कभी जो मैंने मसर्रत का एहतराम किया,
बड़े तपाक से ग़म ने मुझे सलाम किया।

Advertisement

Hindi Gham Shayari, Gham-e-Mohabbat Ho

Gham Shayari, Gham Ke Kisse

Comments