Apno Par Shayari

Sad Hindi Shayari on Loved Once

Advertisement

Waqt Noor Ko Benoor Kar Deta Hai,
Chhote se Zakhm Ko Nasoor Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Apno Se Dur Rehna,
Par Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.
वक़्त नूर को बेनूर कर देता है,
छोटे से जख्म को नासूर कर देता है,
कौन चाहता है अपनों से दूर रहना,
पर वक़्त सबको मजबूर कर देता है।

Kisi Ko Dil Diwana Pasand Hai,
Kisi Ko Dil Ka Najrana Pasand Hai,
Auron Ki Toh Khabar Nahi Lekin,
Mujhe Toh Apno Ka Muskurana Pasand Hai.
किसी को दिल दीवाना पसंद है,
किसी को दिल का नजराना पसंद है,
औरों की तो मुझे ख़बर नही लेकिन,
मुझे तो अपनो का मुस्कुराना पसंद है।

Waqt Ka Pata Nahi Chalta Apno Ke Saath,
Par Apno Ka Pata Chalta Hai Waqt Ke Saath,
Waqt Nahi Badalta Apno Ke Saath,
Par Apne Jarur Badal Jate Hain Waqt Ke Saath.
वक़्त का पता नहीं चलता अपनों के साथ,
पर अपनों का पता चलता है वक़्त के साथ,
वक़्त नहीं बदलता अपनों के साथ,
पर अपने ज़रूर बदल जाते हैं वक़्त के साथ।

Advertisement

Ek Ajeeb Si Daud Hai Yeh Zindgi,
Jeet Jao Toh Kayi Apne Pichhe Chhut Jate Hain,
Aur Haar Jao Toh Apne Hi Pichhe Chhod Jate Hain.
एक अजीब सी दौड़ है ये ज़िन्दगी,
जीत जाओ तो कई अपने पीछे छूट जाते हैं,
और हार जाओ तो अपने ही पीछे छोड़ जाते हैं।

Short Shayaris

Hone Wale Khud Hi Apne Ho Jaate Hain,
Kisi Ko Kah Kar Apna Banaya Nahi Jata.
होने वाले ख़ुद ही अपने हो जाते हैं,
किसी को कहकर अपना बनाया नहीं जाता।

Mujhe Gumaan Tha Ke Chaha Bahut Sabne Mujhe,
Main Azeez Sabko Tha Magar Jarurat Ke Liye.
मुझे गुमान था कि चाहा बहुत सबने मुझे,
मैं अज़ीज़ सबको था मगर ज़रूरत के लिए।

So Ja Aye Dil Ke Ab Bahut Dhundh Hai Tere Shahar Mein,
Apne Dikhte Nahi Aur Jo Dikhte Hain Woh Apne Nahi.
सो जा ऐ दिल कि अब धुन्ध बहुत है तेरे शहर में,
अपने दिखते नहीं और जो दिखते हैं वो अपने नहीं।

Kuchh Log Toh Isliye Apne Bane Hain Abhi,
Ke Meri Barbadi Ka Deedar Kareeb Se Ho.
कुछ लोग तो इसलिये अपने बने हैं अभी,
कि मेरी बर्बादी का दीदार करीब से हो।

Advertisement

Hindi Shayari, Mulakaat Ki Aarzoo

Hindi Shayari, Kaanton Pe Chalna Aa Gaya

Comments