Gareebi Par Hindi Shayari

गरीबी पर बेहतरीन हिंदी शायरी

Advertisement

Apne Mehmaan Ko Palkon Pe Bithha Leti Hai,
Gareebi Jaanti Hai Ghar Mein Bichaune Kam Hain.
अपने मेहमान को पलकों पे बिठा लेती है,
गरीबी जानती है घर में बिछौने कम हैं।

Poorness Garibi Shayari in Hindi

Chehra Bata Raha Tha Ki Maara Hai Bhookh Ne,
Sab Log Kah Rahe The Ke Kuchh Kha Ke Mar Gaya.
चेहरा बता रहा था कि मारा है भूख ने,
सब लोग कह रहे थे कि कुछ खा के मर गया।

Sula Diya Maa Ne Bhukhe Bachche Ko Ye Keh Kar,
Pariyan Aayengi Sapno Mein Rotiyan Lekar.
सुला दिया माँ ने भूखे बच्चे को ये कहकर,
परियां आएंगी सपनों में रोटियां लेकर।

Majbooriyan Haawi Ho Jayein Ye Jaroori Toh Nahi,
Thode Bahut Shauk Toh Gareebi Bhi Rakhti Hai.
मजबूरियाँ हावी हो जाएँ ये जरूरी तो नहीं,
थोडे़ बहुत शौक तो गरीबी भी रखती है।

Woh Jinke Haath Mein Har Waqt Chhale Rehte Hain,
Aabad Unhi Ke Dam Par Mahal Wale Rehte Hain.
वो जिनके हाथ में हर वक्त छाले रहते हैं,
आबाद उन्हीं के दम पर महल वाले रहते हैं।

Bhatakti Hai Hawas Din-Raat Sone Ki Dukanon Par,
Gareebi Kaan Chhidwati Hai Tinke Daal Deti Hai.
भटकती है हवस दिन-रात सोने की दुकानों पर,
गरीबी कान छिदवाती है तिनके डाल देती है।

Jara Si Aahat Pe Jaag Jata Hai Woh Raaton Ko,
Ai Khuda Gareeb Ko Beti De Toh Darwaza Bhi De.
जरा सी आहट पर जाग जाता है वो रातो को,
ऐ खुदा गरीब को बेटी दे तो दरवाज़ा भी दे।

Jab Bhi Dekhta Hu Kisi Gareeb Ko Haste Hue,
Yakeenan Khusyion Ka Talluq Daulat Se Nahi Hota.
जब भी देखता हूँ किसी गरीब को हँसते हुए,
यकीनन खुशिओं का ताल्लुक दौलत से नहीं होता।

Advertisement

Sahem UthhTe Hain Kachche Makaan Paani Ke Khauf Se,
Mahalon Ki Aarzoo Yeh Hai Ke Barsaat Tej Ho.
सहम उठते हैं कच्चे मकान पानी के खौफ़ से,
महलों की आरज़ू ये है कि बरसात तेज हो।

Rukhi Roti Ko Bhi Baant Ke Khate Huye Dekha Maine,
Sadak Kinaare Woh Bhikhari Shanshah Nikla.
रुखी रोटी को भी बाँट कर खाते हुये देखा मैंने,
सड़क किनारे वो भिखारी शहंशाह निकला।

Shayari Gareeb Ka Dil

Yun Na Jhaanka Karo Kisi Gareeb Ke Dil Mein,
Wahan Hasratein BeLibaas Raha Karti Hain.
यूँ न झाँका करो किसी गरीब के दिल में,
वहाँ हसरतें बेलिबास रहा करती हैं।

Tehjeeb Ki Misaal Gareebon Ke Ghar Pe Hai,
Dupatta Fata Hua Hai Magar Unke Sar Pe Hai.
तहजीब की मिसाल गरीबों के घर पे है,
दुपट्टा फटा हुआ है मगर उनके सर पे है।

Kaise Mohabbat Karun Bahut Gareeb Hun Sahab,
Log Bikte Hain Aur Main Khareed Nahi Pata.
कैसे मोहब्बत करूं बहुत गरीब हूँ साहब,
लोग बिकते हैं और मैं खरीद नहीं पाता।

Unn Gharo Mein Jahan Mitti Ke Gharhe Rehte Hain,
Kad Mein Chhote Magar Log Bade Rahte Hain.
उन घरों में जहाँ मिट्टी के घड़े रहते हैं,
क़द में छोटे हों मगर लोग बड़े रहते हैं।

Ajeeb Mithaas Hai Mujh Gareeb Ke Khoon Me Bhi,
Jise Bhi Mauka Milta Hai Woh Peeta Zaroor Hai.
अजीब मिठास है मुझ गरीब के खून में भी,
जिसे भी मौका मिलता है वो पीता जरुर है।

Yeha Gareeb Ko Marne Ki Jaldi Yun Bhi Hai,
Ke Kahin Kafan Mahenga Na Ho Jaye.
यहाँ गरीब को मरने की जल्दी यूँ भी है,
कि कहीं कफ़न महंगा ना हो जाए।

Advertisement

Khayal Shayari, Khayal Tera Hi Rehta Hai

Aawaargi Shayari Collection

Comments