Kashti Ka Musafir Shayari

हिंदी में कश्ती का मुसाफिर शायरी

Advertisement

Aanko Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha,
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha.

Bewaqt Agar Jaaunga Toh Sab Chauk Padenge,
Ek Umra Huyi Din Mein Kabhi Ghar Nahi Dekha.

Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai,
Aankho Ne Kabhi Meel Ka Patthar Nahi Dekha.

Yeh Phool Mujhe Koyi Virasat Mein Nahi Mile,
Tumne Mera Kaanto Bhara Bistar Nahi Dekha.

Patthar Mujhe Kahta Hai Mera Chahne Wala,
Main Mom Hu Usne Mujhe Chhookar Nahi Dekha.

Advertisement

आँखों में रहा दिल में उतरकर नहीं देखा,
कश्ती के मुसाफ़िर ने समन्दर नहीं देखा।

बेवक़्त अगर जाऊँगा, सब चौंक पड़ेंगे,
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा।

जिस दिन से चला हूँ मेरी मंज़िल पे नज़र है,
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा।

ये फूल मुझे कोई विरासत में नहीं मिले,
तुमने मेरा काँटों-भरा बिस्तर नहीं देखा।

पत्थर मुझे कहता है मेरा चाहने वाला,
मैं मोम हूँ उसने मुझे छूकर नहीं देखा।

Advertisement

Hindi Shayari, Husn Ki Mehrawani Kahna

Hindi Shayari, Lakeero Me Basa Le

Comments