Khuda Par Hindi Shayari

खुदा पर बेहतरीन हिंदी शायरी

Advertisement

Khuda Par Hindi Shayari

Wohi Rakhega Mere Ghar Ko Balaaon Se Mehfooz,
Jo Shajar Se Ghosla Girne Nahin Deta.
वही रखेगा मेरे घर को बलाओं से महफूज,
जो शजर से घोसला गिरने नहीं देता।

Hawa Khilaaf Thi Lekin Chirag Bhi Khoob Jala,
Khuda Bhi Apne Hone Ka Kya Kya Saboot Deta Hai.
हवा खिलाफ थी लेकिन चिराग भी खूब जला,
खुदा भी अपने होने का क्या क्या सबूत देता है।

Ehsas-E-Nidaamat, Ek Sajda Aur Chashm-E-Tar,
Ai Khuda Kitna Aasaan Hai Mananaa Tujh Ko.
एहसास-ए-निदामत, एक सजदा और चश्म-ए-तर,
ऐ खुदा कितना आसान है मनाना तुझ को।

Khuda Ko Bhool Gaye Log Fikr-E-Rozi Mein,
Talaash Rizq Ki Hai Raaziq Ka Khayaal Nahi.
खुदा को भूल गए लोग फ़िक्र-ए-रोज़ी में,
तलाश रिज्क की है राजिक का ख़याल नहीं।

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo,
Mitti Ke Khilono Se Kabhi Wafa Nahi Milti.
मोहब्बत कर सकते हो तो खुदा से करो,
मिट्टी के खिलौनों से कभी वफ़ा मिलती नहीं।

Ek Muddat Ke Baad Hum Ne Yeh Jaana Ai Khuda,
Ishq Teri Zaat Se Sacha Hai, Baki Sab Afsane.
एक मुद्दत के बाद हम ने ये जाना ऐ खुदा,
इश्क तेरी ज़ात से सच्चा है वाकी सब अफसाने।

Karam Jab Aala-e-Nabi Ka Shareek Hota Hai,
Bigad Bigad Kar Har Kaam Thheek Hota Hai.
करम जब आला-ए-नबी का शरीक होता है
बिगड़ बिगड़ कर हर काम ठीक होता है।

Na Tha Koi Humara Na Hum Kisi Ke Hain,
Bus Ek Khuda Hai Aur Hum Usi Ke Hain.
न था कोई हमारा न हम किसी के हैं,
बस एक खुदा है और हम उसी के हैं।

Mit Jaaye Gunaahon Ka Tasawur Hi Jahan Se,
Agar Ho Jaye Yakeen Ke Khuda Dekh Raha Hai.
मिट जाये गुनाहों का तसव्वुर ही जहां से,
अगर हो जाये यकीन के खुदा देख रहा है।

Aadam Ko Mat Khuda Kaho Aadam Khuda Nahi,
Lekin Khuda Ke Noor Se Aadam Juda Nahi.
आदम को मत खुदा कहो आदम खुदा नही,
लेकिन खुदा के नूर से आदम जुदा नहीं।

Advertisement

Jahan Sajde Ko Man Aaya Wahin Kar Liya Sajda,
Na Koi Sange-Dar Apna Na Koi Aastan Apna.
जहाँ सजदे को मन आया वहीं कर लिया सजदा,
न कोई संगे-दर अपना न कोई आस्तां अपना।

Tifl-e-SheerKhwar Ko Jyon-Jyon Shaoor Ho Chala,
Jitna Khuda Ke Paas Tha Utna Hi Dur Ho Chala.
तिफ्ल-ए-शीरख्वार को ज्यों-ज्यों शऊर हो चला,
जितना खुदा के पास था उतना ही दूर हो चला।

Tera Karam Toh Aam Hai Duniya Ke Vaste,
Main Kitna Le Saka Yeh Muqaddar Ki Baat Hai.
तेरा करम तो आम है दुनिया के वास्ते,
मैं कितना ले सका यह मुकद्दर की बात है।

Mujhko Khwahish Hi Dhundhne Ki Na Thi,
Mujh Mein Khoya Raha Khuda Mera.
मुझ को ख़्वाहिश ही ढूढ़ने की न थी,
मुझ में खोया रहा ख़ुदा मेरा।

Kashtiyan Sab Ki Kinare Pe Pahuch Jati Hain,
Na-Khuda Jinka Nahi Unka Khuda Hota Hai.
कश्तियाँ सब की किनारे पे पहुँच जाती हैं,
ना-ख़ुदा जिनका नहीं उनका ख़ुदा होता है।

Gunah Gin Ke Main Kyun Apne Dil Ko Chhota Karun,
Suna Hai Tere Karam Ka Koi Hisaab Nahi.
गुनाह गिन के मैं क्यूँ अपने दिल को छोटा करूँ,
सुना है तेरे करम का कोई हिसाब नहीं।

Khuda Aaj Bhi Hai Zamin Par Yeh Mujhko Yakeen,
Bas Usko Dekhne Wali Nigaah Chahiye.
खुदा आज भी है ज़मीं पर ये मुझको यकीं,
बस उसको देखने वाली निगाह चाहिए।

Saleeka Hi Nahi Shayad Usey Mahsoos Karne Ka,
Jo Kehta Hai Khuda Hai To Najar Aana Jaroori Hai.
सलीका ही नहीं शायद उसे महसूस करने का,
जो कहता है ख़ुदा है तो नजर आना जरूरी है।

Dua Baarish Ki Karte Ho Magar Chhatri Nahi Rakhte,
Bharosha Hai Nahi Tumko Khuda Par Kya Jara Sa Bhi.
दुआ बारिश की करते हो मगर छतरी नहीं रखते,
भरोसा है नहीं तुमको खुदा पर क्या जरा सा भी।

Ibaadat Khano Mein Kya Dhoondhte Ho Mujhe,
Main Wahan Bhi Hun, Jahan Tum Gunaah Karte Ho.
इबादतखानों में क्या ढूंढते हो मुझे,
मैं वहाँ भी हूँ, जहाँ तुम गुनाह करते हो।

Rehmat Teri Mohtaj Hai Mere Gunaahon Ki,
Mere Bina Tu Bhi Khuda Ho Nahi Sakta.
रहमत तेरी मोहताज है मेरे गुनाहों की,
मेरे बिना तू भी खुदा हो नहीं सकता।

Advertisement

Ahmad Faraz Shayari Collection

Hindi Ruswayi Shayari Collection

Comments