Hindi Shayari, Lahu Lahu Hum The

Very Nice Shayari about Riots

Advertisement

Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya Hai Wahan,
Dino Ki Baat Hai Mefil Ki Aabru Hum The,
Khayal Tha Ke Yeh Pathrav Rok Dein Chal Kar,
Jo Hosh Aaya Toh Dekha Lahu Lahu Hum The.
हमारा ज़िक्र भी अब जुर्म हो गया है वहाँ,
दिनों की बात है महफ़िल की आबरू हम थे,
ख़याल था कि ये पथराव रोक दें चल कर,
जो होश आया तो देखा लहू लहू हम थे।

Advertisement

Iss Shahar Ki Bheed Mein Chehre Saare Ajnabi,
Rahnuma Hai Har Koi Par Rasta Koi Nahi,
Apni Apni Kismaton Ke Sabhi Maare Yahan,
Ek-Duje Se Kisi Ka Wasta Koi Nahi.
इस शहर की भीड़ में चेहरे सारे अजनबी,
रहनुमा है हर कोई, पर रास्ता कोई नहीं,
अपनी-अपनी किस्मतों के सभी मारे यहाँ,
एक-दूजे से किसी का वास्ता कोई नहीं।

Dilon Ki Band Khidki Kholna Ab Zurm Jaisa Hai,
Bhari Mehfil Mein Sach Bolna Ab Zurm Jaisa Hai,
Har Ek Jyadti Ko Sahen Kar Lo Chupchap,
Shahar Mein Iss Tarah Se Cheekhna Zurm Jaisa Hai.
दिलों की बंद खिड़की खोलना अब जुर्म जैसा है,
भरी महफिल में सच बोलना अब जुर्म जैसा है,
हर एक ज्यादती को सहन कर लो चुपचाप,
शहर में इस तरह से चीखना जुर्म जैसा है।

Hindi Shayari, Jeene Ka Sahara

Hindi Shayari, Behtar Hai Muflisi Meri

Comments