Intezaar Shayari, Qayamat Ka Intezaar

इंतज़ार पर दो लाईन शायरी

Advertisement

Ghazab Kiya Tere Wade Par Aitbaar Kiya,
Tamaam Raat Kiya Qayamat Ka Intezaar Kiya.
ग़जब किया तेरे वादे पर ऐतबार किया,
तमाम रात किया क़यामत का इंतज़ार किया।

Dekha Na Hoga Tu Ne Magar Intezaar Mein,
Chalte Huye Waqt Ko Thheharte Huye Bhi Dekh.
देखा न होगा तू ने मगर इंतज़ार में,
चलते हुए वक़्त को ठहरते हुए भी देख।

Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Par Humein Aitbaar Hota.
तेरे वादे पर सितमगर अभी और सब्र करते,
अगर अपनी ज़िन्दगी पर हमें ऐतबार होता।

Aisi Hi Intezar Mein Lazzat Agar Na Ho,
Toh Do Ghadi Ki Firaaq Mein Apni Basar Na Ho.
ऐसी ही इंतज़ार में लज़्ज़त अगर न हो,
तो दो घड़ी की फ़िराक़ में अपनी बसर न हो।

Advertisement

Chale Bhi Aao Tasawwar Mein Meharbaan Bankar,
Aaj Intezaar Tera Dil Ko Had Se Zyada Hai.
चले भी आओ तसव्वर में मेहरबां बनकर,
आज इंतज़ार तेरा दिल को हद से ज्यादा है।

Kahin Woh Aa Ke Mita De Na Intezaar Ka Lutf,
Kahin Qabool Na Ho Jaye Iltiza Meri.
कहीं वो आ के मिटा दें न इंतज़ार का लुत्फ़,
कहीं कबूल न हो जाए इल्तिजा मेरी।

Humne Toh Uss Shahar Mein Bhi Kiya Intezar Tera,
Jahan Mohabbat Ka Koi Riwaaz Na Tha.
हमने तो उस शहर में भी किया इंतज़ार तेरा,
जहाँ मोहब्बत का कोई रिवाज़ न था।

Unke Khat Ki Arzoo Hai Unki Aamad Ka Khayal,
Kis Kadar Faila Hai Yeh Karobaar-e-Intezar.
उन के खत की आरज़ू है उन की आमद का ख्याल,
किस कदर फैला है ये कारोबार-ए-इंतज़ार।

Advertisement

Intezaar Shayari, Intezar Har Sham Tera

Comments