Maa Shayari in Hindi

Maa Shayari, Maa Ke Aage Nahi Rona

Best Maa Shayari in Hindi

Shayari Maa Ke Aage Nahi Rona

माँ के आगे यूँ कभी खुल कर नहीं रोना,
जहाँ बुनियाद हो इतनी नमी अच्छी नहीं होती।
Maa Ke Aage Yoon Kabhi Khul Kar Nahin Rona,
Jahaan Buniyaad Ho Itni Nami Achchhi Nahin Hoti.
(मुनव्वर राना)

आँखों से माँगने लगे पानी वज़ू का हम,
कागज पे जब भी देख लिया माँ लिखा हुआ।
Aankhon Se Maangne Lage Paani Wazoo Ka Hum,
Kaagaz Pe Jab Bhi Dekh Liya Maa Likha Hua.
(मुनव्वर राना)

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Bahut Yaad Aati Hai Maa

Latest Shayari about Maa (Mother)

जिंदगानी के सफर में गर्दिशों की धूप में,
जब कोई साया नहीं मिलता बहुत याद आती है माँ,
काँपती आवाज में कहती है बेटा अलविदा,
सामने जब तक रहे हाथों को लहराती है माँ,
जब परेशानी में फँस जाते हैं हम परदेस में,
आँसुओं को पोछने ख्वाबों में चली आती है माँ,
मरते दम तक आ सका न बच्चा घर परदेस से,
अपनी सारी दुआएं चौखट पे छोड़ जाती है माँ।

Zindgani Ke Safar Mein Gardishon Ki Dhoop Mein,
Jab Koi Saaya Nahin Milta Bahut Yaad Aati Hai Maa,
Kaanpti Aawaz Mein Kehti Hai Beta Alvida,
Samne Jab Tak Rahe Hathon Ko Lehraati Hai Maa,
Jab Pareshani Mein Fans Jaate Hain Hum Pardes Mein,
Aansuyon Ko Pochhne Khwaabon Mein Chali Aati Hai Maa,
Marte Dum Tak Aa Saka Na Bachcha Ghar Pardes Se,
Apni Sari Duaayein Chaukhat Pe Chhod Jaati Hai Maa.

Advertisement

Shayari about Maa, Kitna Laadala Tha Main

New Maa Shayari in Hindi

Tu Ne To Rula Ke Rakh Diya Ai Zindagi,
Ja Kar Poochh Meri Maa Se Kitna Laadala Tha Main.
तू ने तो रुला के रख दिया ऐ ज़िन्दगी,
जा कर पूछ मेरी माँ से कितना लाड़ला था मैं।

Maa Ka Laadla Tha Main

Dua Ko Haath Uthaate Huye Larazta Hoon,
Kabhi Duaa Nahin Maangi Thi Maa Ke Hote Huye.
दुआ को हाथ उठाते हुए लरज़ता हूँ,
कभी दुआ नहीं माँगी थी माँ के होते हुए।

Shahar Mein Jakar Parhne Wale Bhool Gaye,
Kis Ki Maa Ne Kitna Zewar Becha Tha.
शहर में जाकर पढ़ने वाले भूल गए
किसकी माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Shayari Maa Ke Kadmon Mein Jannat

True Shayari for Loving Mother

Uss Rab Ne Maa Ko Yeh Taaqat Kamaal Di,
Uski Duaa Par Har Musibat Bhi Taal Di,
Maa Ke Pyar Ki Kuchh Iss Tarah Misaal Di,
Ki Jannat Uthaakar Maa Ke Qadamo Mein Daal Di.

उस रब ने माँ को यह ताक़त कमाल दी,
उसकी दुआ पर हर मुसीबत भी टाल दी,
माँ के प्यार की कुछ इस तरह मिसाल दी,
कि जन्नत उठाकर माँ के क़दमों में डाल दी।

Advertisement

Maa Shayari, Jannat Nahi Maa Dekhi Hai

Read Best Maa Shayari in Hindi

Best Maa Shayari - Maine Maa Dekhi Hai

चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dehi Hai,
Maine Jannat Toh Nahi Dekhi Hai Maa Dekhi Hai.

तेरे क़दमों में ये सारा जहां होगा एक दिन,
माँ के होठों पे तबस्सुम को सजाने वाले।
Tere Kadmon Mein Yeh Saara Jahan Hoga Ek Din,
Maa Ke Hothhon Pe Tabassum Ko Sajaane Wale.

[ Read More Shayaris ]

‹ Prev123