Maut Shayari

Maut Shayari in Hindi : Read here a new collection of poetry about death in hindi, urdu language. All related topics like Maut Shayari, Kafan Shayari, Kabr Shayari, Mayyat Shayari, Janaza Shayari etc covered in this shayari category.

Maut Shayari, Meri Maut Par Aansoo

Latest Maut Shayai in Hindi

Meri Maut Par Bhi Uski Aankhon Mein Aansoo Na The,
Usey Shak Tha Ki Mujh Mein Ab Bhi Jaan Baki Hai.
मेरी मौत पर भी उसकी आँखों में आँसू न थे,
उसे शक था कि मुझ में अब भी जान बाकी है।

Maut Par Aankhon Mein Aansoo Maut Shayari

Chal Saath Ki Hasarat Dil-e-Mehroom Se Nikle,
Aashiq Ka Janaza Hai Jara Dhoom Se Nikle.
चल साथ कि हसरत दिल-ए-महरूम से निकले,
आशिक का जनाजा है जरा धूम से निकले।

Ai Maut Aa Kar Humko Khamosh To Kar Gayi Tu,
Magar Sadiyon Dilon Ke Andar Hum Goonjte Rahenge.
ऐ मौत आ कर हमको खामोश तो कर गई तू,
मगर सदियों दिलों के अंदर हम गूंजते रहेंगे।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Zindagi Ne Toh Maar Hi Daala

Hindi Quotes about Death (Shayari about Death)

Maut Aaye Toh Din Badalein Shayad,
Zindagi Ne Toh Maar Hi Daala Hai.
मौत आये तो दिन बदलें शायद,
ज़िंदगी ने तो मार ही डाला है।

Maut Ne Mujhko Tawajjo Di Nahi,
Isliye Har Haal Mein Jeeta Hun Main.
मौत ने मुझको तवज्जो दी नहीं
इसलिए हर हाल में जीता हूँ मैं।

Humaari Muskrahat Par Na Jaana,
Diya Toh Qabr Par Bhi Jal Raha Hai.
हमारी मुस्कुराहट पर न जाना,
दिया तो कब्र पर भी जल रहा है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Maut Ki Keemat Se Ghabraata Hoon

Shayari Status about Maut

Khatm Kar Degi Kisi Din Ye Tamanna-e-Hayaat,
Raat-Din Koshish Mein Jeene Ki Mara Jaata Hoon Main,
Zindagi Ke Daam Itne Gir Gaye Kuchh Gam Nahin,
Maut Ki Barhti Huyi Keemat Se Ghabraata Hoon Main.

खत्म कर देगी किसी दिन ये तमन्ना-ए-हयात,
रात-दिन कोशिश में जीने की मरा जाता हूँ मैं,
जिन्दगी के दाम इतने गिर गये कुछ गम नहीं,
मौत की बढ़ती हुई कीमत से घबराता हूँ मैं।

Death Shayari Maut Ki Keemat

Advertisement

Maut Se Pehle Bhi Ek Maut Shayari

New Maut Shayari in Hindi

मौत से पहले भी एक मौत होती है,
देखो तुम किसी अपने से जुदा होकर।
Maut Se Pehle Bhi Ek Maut Hoti Hai,
Dekho Tum Kisi Apne Se Judaa Hokar.

Shayari Maut Se Pehle Bhi Ek Maut

जो लोग मौत को जालिम करार देते हैं,
खुदा मिलाये उन्हें ज़िन्दगी के मारों से।
Jo Log Maut Ko Zaalim Qarar Dete Hain,
Khuda Milaye Unhein Zindagi Ke Maaron Se.

नशा था ज़िंदगी का शराबों से तेज़-तर,
हम गिर पड़े तो मौत उठा ले गई हमें।
Nasha Tha Zindagi Ka Sharaabon Se Tez-Tar,
Hum Gir Pade To Maut Utha Le Gayi Humein.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Maut Se Aisi Mujhe Ummeed Nahin

Latest Maut, Kafan, Mayyat Shayari in Hindi

Kam Se Kam Maut Se Aisi Mujhe Ummeed Nahin,
Zindagi Tu Ne Toh Dhokhe Pe Diya Hai Dhokha.
कम से कम मौत से ऐसी मुझे उम्मीद नहीं,
ज़िंदगी तूने तो धोखे पे दिया है धोखा।

Iss Se Keh Do Meri Mayyat Pe Na AAye Ab Wo,
Aakhri Waqt Koyi Iss Ki Anayat Na Rahe.
इस से कह दो मेरी मय्यत पे न आए अब वो,
आखिरी वक्त कोई इस की अनायत न रहे।

Nikle Jo Janaza Mera Do Phool Gira Dena,
Milne Ki Tamanna Ho To Kafan Hata Dena.
निकले जो जनाजा मेरा दो फूल गिरा देना,
मिलने की तमन्ना हो तो कफन हटा देना।

[ Read More Shayaris ]

‹ Prev123456