Maut Shayari, Kabr Pyaar Ki Nishani

Shayari about Death in Love. Very Sad Collection in Hindi and English Font

Advertisement

Na Udhaao Yun Thokro Mein Meri Khak-e-Kabr Zalim,
Yehi Ek Rah Gayi Hai Mere Pyaar Ki Nishaani.
न उड़ाओ यूं ठोकरों से मेरी खाके-कब्र ज़ालिम,
यही एक रह गई है मेरे प्यार की निशानी।

Umr Tamaam Bahaar Ki Ummid Mein Gujar Gayi,
Bahaar Aayi Hai Toh Maut Ka Paigaam Layi Hai.
उम्र तमाम बहार की उम्मीद में गुजर गयी,
बहार आई है तो पैगाम मौत का लाई है।

Aye Maut Tujhe Bhi Gale Laga Lunga Jaraa Thahar,
Abhi Hai Aarzoo Sanam Se Lipat Jaane Ki.
ऐ मौत तुझे भी गले लगा लूँगा जरा ठहर,
अभी है आरज़ू सनम से लिपट जाने की।

Advertisement

Maut Se Kyun Itni Dehshat Jaan Kyun Itni Ajeez,
Maut Aane Ke Liye Hai Jaan Jaane Ke Liye Hai.
मौत से क्यों इतनी दहशत जान क्यों इतनी अजीज,
मौत आने के लिए है, जान जाने के लिए है।

Koi Nahi Aayega Meri Zindgi Mein Tumhare Siwa,
Bas Ek Maut Hi Hai Jiska Main Vaada Nahi Karta.
कोई नही आएगा मेरी जिदंगी में तुम्हारे सिवा,
बस एक मौत ही है जिसका मैं वादा नही करता।

Kitna Dil-Fareb Hoga Woh Meri Maut Ka Manjar,
Mujhe Thukrane Wale Mere Liye Aansu Bahayange.
कितना दिल-फरेब होगा वो मेरी मौत का मंजर,
मुझे ठुकराने वाले मेरे लिए आँसू बहायेंगे।

Advertisement

Maut Shayari, Mitti Meri Kabr Se

Maut Shayari, Mar Ke Dikhana Pada

Comments