Maut Shayari

Advertisement

Maut Shayari, Do Ghaz Zamin Sahi

Heartrending Maut Shayari in Hindi

Do Ghaz Zamin Sahi Meri Milkiyat Toh Hai,
Ai Maut Tu Ne Mujh Ko Zamindar Kar Diya.
दो गज़ ज़मीन सही मेरी मिल्कियत तो है,
ऐ मौत तूने मुझको ज़मींदार कर दिया।

Maut Shayari in Hindi, Do Ghaz Zamin Sahi

Ai Maut Tujhe Ek Din Aana Hai Bhaley,
Aa Jati Shab-e-Furqat Mein Toh Ehsaan Hota.
ऐ मौत तुझे एक दिन आना है भले,
आ जाती शबे फुरकत में तो अहसां होता।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Maut Shayari, Maut Bhi Koi Cheej Hai

Shayari about Death for Boys and Girls

Maut Shayari, Maut Bhi Koi Cheej Hai

Uss Se Bichhde Toh Maloom Hua Maut Bhi Koi Cheej Hai,
Zindagi Woh Thi Jo Uski Mahfil Mein Gujaar Aaye.
उससे बिछड़े तो मालूम हुआ मौत भी कोई चीज़ है,
ज़िन्दगी वो थी जो उसकी महफ़िल में गुज़ार आए।

Barh Jaati Hai Meri Maut Ki Tareekh Khud-Ba-Khud Aage,
Jab Bhi Koi Teri Salamati Ki Khabar Le Aata Hai.
बढ़ जाती है मेरी मौत की तारीख खुद ब खुद आगे,
जब भी कोई तेरी सलामती की खबर ले आता है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Maut Shayari, Rahega Mazaar Kya

Beautiful Poetry about Death in Hindi

Baad-e-Fanaa Fizool Hai Naamo-Nishaan Ki Fikr,
Jab Hum Nahi Rahe Toh Rahega Mazaar Kya.
बादे-फना फिजूल है नामोनिशां की फिक्र,
जब हम नहीं रहे तो रहेगा मजार क्या?

Zindagi Baithi Thi Apne Husn Pe Phooli Hui,
Maut Ne Aate Hi Saara Rang Feeka Kar Diya.
ज़िंदगी बैठी थी अपने हुस्न पे फूली हुई,
मौत ने आते ही सारा रंग फीका कर दिया।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Maut Shayari, Mar Jate Hain Kuchh Log

Read Two Line Maut Shayari in Hindi and English Font

Maut Shayari, Mar Jate Hain Kuchh Log

Sanson Ke Silsile Ko Na Do Zindagi Ka Naam,
Jeene Ke Bawajood Bhi Mar Jaate Hain Kuchh Log.
साँसों के सिलसिले को न दो ज़िंदगी का नाम,
जीने के बावजूद भी मर जाते हैं कुछ लोग।

Iss Marhale Ko Bhi Maut Hi Kehte Hain,
Jahan Ek Pal Mein Toot Jaye Umr Bhar Ka Sath.
इस मरहले को भी मौत ही कहते हैं,
जहाँ एक पल में टूट जाये उम्र भर का साथ।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Maut Shayari, Dum Aaram Se Nikle

Hindi Death Shayari about a Lover Who is Going to Die

Jara Chup-Chap Toh Baitho Ke Dum Aaram Se Nikle,
Idhar Hum Hichki Lete Hain Udhar Tum Rone Lagte Ho.
जरा चुपचाप तो बैठो कि दम आराम से निकले,
इधर हम हिचकी लेते हैं उधर तुम रोने लगते हो।

Tum Samjhate Ho Ke Jeene Ki Talab Hai Mujh Ko,
Main Toh Iss Aas Mein Zinda Hun Ke Marna Kab Hai.
तुम समझते हो कि जीने की तलब है मुझको,
मैं तो इस आस में ज़िंदा हूँ कि मरना कब है।

[ Read More Shayaris ]