Read Shayari in Hindi

Advertisement
Hindi Shayari

Hindi Shayari, Khayaalon Mein Sadaa

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai,
Mujh Ko Mere Hi Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai,
एक चेहरा जो मेरे ख्वाब सजा देता है,
मुझ को मेरे ही ख्यालों में सदा देता है।

Wo Mera Kaun Hai Maloom Nahi Hai Lekin,
Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jagaha Deta Hai,
वो मेरा कौन है मालूम नहीं है लेकिन,
जब भी मिलता है तो पहलू में जगा देता है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Shayari On Life

Shayari on Life, Zindgi Tu Hi Bata

Ab Toh Apni Tabiyat Bhi Juda Lagti Hai,
Saans Leta Hun Toh Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
Kabhi Razi Toh Kabhi Mujse Khafa Lagti Hai,
Zindgi Tu Hi Bata Tu Meri Kya Lagti Hai.
अब तो अपनी तबियत भी जुदा लगती है,
सांस लेता हूँ तो ज़ख्मों को हवा लगती है,
कभी राजी तो कभी मुझसे खफा लगती है,
जिंदगी तू ही बता तू मेरी क्या लगती है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Love Shayari

Love Shayari, Pyaar Chhupaya Na Karo

Ret Par Likh Ke Mera Naam Mitaya Na Karo,
Aankh Sach Bolti Hai Pyaar Chhupaya Na Karo
रेत पर लिख के मेरा नाम मिटाया न करो,
आँख सच बोलती है प्यार छुपाया न करो।

Log Har Baat Ka Afsaana Bana Lete Hain,
Sabko Haalat Ki Rudaad Sunaya Na Karo.
लोग हर बात का अफ़साना बना लेते हैं,
सबको हालात की रूदाद सुनाया न करो।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Love Shayari

Love Shayari, Tum Se Mohabbat Hai

Zaroori Kaam Hai Lekin Rojana Bhul Jata Hu,
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Batana Bhul Jata Hu,
Teri Galion Mein Phirna Itna Achha Lagta Hai,
Mein Rasta Yaad Rakhta Hun Thikana Bhul Jata Hu,
Bas Itni Baat Par Main Logon Ko Achha Nahi Lagta,
Main Neki Kar Toh Deta Hun Jatana Bhul Jata Hu.
ज़रूरी काम है लेकिन रोज़ाना भूल जाता हूँ,
मुझे तुम से मोहब्बत है बताना भूल जाता हूँ,
तेरी गलियों में फिरना इतना अच्छा लगता है,
मैं रास्ता याद रखता हूँ ठिकाना भूल जाता हूँ,
बस इतनी बात पर मैं लोगों को अच्छा नहीं लगता,
मैं नेकी कर तो देता हूँ जताना भूल जाता हूँ।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Hindi Shayari

Hindi Shayari, Mere Mizaaj Ka Mausam

Main Khil Nahi Saka Ki Mujhe Nam Nahi Mila,
Saqi Mere Mizaaj Ka Mausam Nahi Mila.
मैं खिल नहीं सका कि मुझे नम नहीं मिला,
साक़ी मिरे मिज़ाज का मौसम नहीं मिला।

Mujh Mein Basi Huyi Thi Kisi Aur Ki Mehak,
Dil Bujh Gaya Ki Raat Woh Barhum Nahi Mila.
मुझ में बसी हुई थी किसी और की महक,
दिल बुझ गया कि रात वो बरहम नहीं मिला।

[ Read More Shayaris ]

178910Next ›