Sad Shayari, Ek Hijr Ka Faisla

Most Liked Hindi Sad Shayaris

Advertisement

Sad Shayari, Ek Hijr Ka Faisla

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha,
Hum Ne Toh Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya.
मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था,
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया।

Hosho-Hawaas Aur Taabo-Tawaan Daag Ja Chuke,
Ab Hum Bhi Jaane Wale Hain Saamaan Toh Gaya.
होशो-हवास और ताबो-तवाँ दाग़ जा चुके,
अब हम भी जाने वाले हैं सामान तो गया।

Advertisement

Haath Mere Bhool Baithe Dastakein Dene Ka Fan,
Band Mujh Par Jab Se Uske Ghar Ka Darwaja Hua.
हाथ मेरे भूल बैठे दस्तकें देने का फ़न,
बंद मुझ पर जब से उस के घर का दरवाज़ा हुआ।

Bas Yeh Hua Ke Usne Takalluf Se Baat Ki,
Aur Hum Ne Rote Rote Dupatte Bhigo Liye.
बस ये हुआ कि उस ने तकल्लुफ़ से बात की,
और हम ने रोते रोते दुपट्टे भिगो लिए।

Tamaam Umr Hum Wafa Ke Gunahgaar Rahe,
Yeh Aur Baat Hai Ke Hum Aadmi Toh Achhe The.
तमाम उम्र हम वफा के गुनहगार रहे,
यह और बात है कि हम आदमी तो अच्छे थे।

Aaye Bhi Log Gaye Bhi Uthh Bhi Khade Huye,
Main Jaa Hi Dekhta Teri Mehfil Mien Rah Gaya.
आये भी लोग, गये भी, उठ भी खड़े हुए,
मैं जा ही देखता तेरी महफिल में रह गया।

Advertisement

Short Sad Shayari, Khate Rahe Fareb

Sad Shayari, Thi Kismat Mein Nakami

Comments