Sad Shayari, Khayaal Hoon Kisi Aur Ka

Nice Shayari Lines about the Thoughts of Someone Else in Heart of Poets Lover

Advertisement

Main Khayaal Hoon Kisi Aur Ka, Mujhe Sochta Koyi Aur Hai,
Sar-E-Aaina Mera Aks Hai, Pas-E-Aaina Koyi Aur Hai.
मैं ख्याल हूँ किसी और का, मुझे सोचता कोई और है,
सर-ए-आईना मेरा अक्स है, पस-ए-आईना कोई और है।

Main Kisi Ke Dast-E-Talab Mein Hoon, Toh Kisi Ke Harf-E-Duwa Mein Hoon,
Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka, Mujhe Maangata Koyi Aur Hai.
मैं किसी की दस्त-ए-तलब में हूँ, तो किसी की हर्फ़-ए-दुआ में हूँ,
मैं नसीब हूँ किसी और का, मुझे मांगता कोई और है।

Kabhi Laut Aayein Toh Na Poochhna, Sirf Dekhna Bare Ghaur Se,
Jinhein Raaste Mein Khabar Huyi, Ke Yeh Raasata Koyi Aur Hai.
कभी लौट आयें तो न पूछना, सिर्फ देखना बड़े गौर से,
जिन्हें रास्ते में खबर हुयी, कि ये रास्ता कोई और है।

Ajab Aitbar-O-Be-Aitbari Ke Darmiyaan Hai Zindagi,
Main Qareeb Hoon Kisi Aur Ke, Mujhe Jaanta Koyi Aur Hai.
अजब ऐतबार-ओ-बे-ऐतबारी के दरमियाँ है जिंदगी,
मैं करीब हूँ किसी और के, मुझे जानता कोई और है।

Advertisement

Wahi Munsifoon Ki Rivayatein, Wahi Faislo Ki Ibaratein,
Mera Jurm To Koi Aur Tha, Par Meri Saza Koyi Aur Hai.
वही मुन्शिफों की रिवायतें, वही फैसलों की इबारतें,
मेरा जुर्म तो कोई और था, पर मेरी सज़ा कोई और है।

Teri Roshni Meri Khad-O-Khal Se Mukhtalif Toh Nahi Magar,
Tu Qareeb Aa Tujhe Dekh Loon, Tu Wohi Hai Ya Koyi Aur Hai.
तेरी रौशनी मेरी खाद-ओ-खल से मुख्तलिफ तो नहीं मगर,
तू करीब आ तुझे देख लूं, तू वो ही है या कोई और है।

Jo Meri Riyazat-E-Neem-Shab Ko Saleem Shub Na Mil Saki,
To Phir Is Ke Maani To Ye Huye, Ke Yahaan Khuda Koyi Aur Hai.
जो मेरी रियाज़त-ए-नीम-शब को सलीम शब न मिल सकी,
तो फिर इसके मानी तो ये हुए, कि यहाँ खुदा कोई और है।

-Saleem Kausar

Advertisement

Naseeb Shayari Collection

Sad Shayari, Taabir Jo Mil Jati

Comments