Waqt Shayari Collection

वक़्त पर बेहतरीन हिंदी शायरी

Advertisement

Na To Tum Bure Sanam Na Hi Hum Bure Hain,
Kuchh Kismat Buri Hai Kuchh Waqt Bura Hai.
ना तो तुम बुरे सनम, ना ही हम बुरे हैं,
कुछ किस्मत बुरी है और कुछ वक्त बुरा है।

Log Kehte Hain Ki Waqt Kisi Ka Gulam Nahi Hota,
Fir Kyun Tham Sa Jata Hai Gamo Ke Daur Mein.
लोग कहते हैं वक्त किसी का गुलाम नही होता,
फिर क्यूँ थम सा जाता है ग़मों के दौर में?

Zindgi Ne Mere Dard Ka Kya Khoob Ilaaj Sujhaya,
Waqt Ko Dawaa Bataya Khwahishon Se Parhej Bataya.
ज़िन्दगी ने मेरे दर्द का क्या खूब इलाज सुझाया,
वक्त को दवा बताया ख्वाहिशों से परहेज़ बताया।

Haath Chhute Bhi Toh Rishte Nahi Chhuta Karte,
Waqt Ki Shaakh Se Lamhe Nahi Tuta Karte.
हाथ छुटे भी तो रिश्ते नही छूटा करते,
वक्त की शाख से लम्हे नही टूटा करते।

Kuchh Is Tarah Se Sauda Kiya Mujhse Mere Waqt Ne
Tazurbe Dekar Wo Mujh Se Meri Nadaniyan Le Gaya.
कुछ इस तरह से सौदा किया मुझसे मेरे वक़्त ने,
तजुर्बे देकर वो मुझसे मेरी नादानीयाँ ले गया।

Advertisement

Koshish Hajaar Ki Ke Ise Rok Lu Magar,
Thhehri Huyi Ghadi Mein Bhi Thhehra Nahi Ye Waqt.
कोशिश हजार की कि इसे रोक लूँ मगर,
ठहरी हुई घड़ी में भी ठहरा नहीं ये वक्त।

Ud Jayenge Tasviron Se Rangon Ki Tarah Hum,
Waqt Ki Tahni Par Hain Parindo Ki Tarah Hum.
उड़ जायेंगे तस्वीरों से रंगो की तरह हम,
वक़्त की टहनी पर हैं परिंदो की तरह हम।

Waqt Ko Bhi Hua Hai Jaroor Kisi Se Ishq,
Jo Woh Bechain Hai Itna Ke Thheharta Hi Nahi.
वक़्त को भी हुआ है जरूर किसी से इश्क़,
जो वो बेचैन है इतना कि ठहरता ही नहीं।

Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar,
Aadat Iss Ki Bhi Aadmi Si Hai.
वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर,
आदत इस की भी आदमी सी है।

Yaadein Karbat Badal Rahi Hain
Aur Main Tanha Tanha Hoon,
Waqt Bhi Jis Se Rooth Gaya Hai
Main Woh Bebas Lamha Hoon.
यादें करवट बदल रही हैं
और मैं तनहा तनहा हूँ,
वक़्त भी जिससे रूठ गया है
मैं वो बेबस लम्हा हूँ।

Advertisement

Sad ilzam Shayari Collection

Sad Shayari, Jab Bhi Unki Gali Se

Comments