Aankhein Shayari, Muskurati Huyi Aankhein

Hindi Aankhein Shayari about Deep and Beautiful Eyes

Advertisement

Yeh Muskurati Huyi Aankhein
Jin Mein Raks Karti Hai Bahaar,
Shafaq Ki, Gul Ki,
Bijliyon Ki Shokhiyan Liye Huye.
यह मुस्कुराती हुई आँखें
जिनमें रक्स करती है बहार,
शफक की, गुल की,
बिजलियों की शोखियाँ लिये हुए।

Itne Sawaal The Mere Paas Ke
Meri Umar Se Na Simat Sake,
Jitne Jawaab The Tere Paas Sabhi
Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye.
इतने सवाल थे मेरे पास कि
मेरी उम्र से न सिमट सके,
जितने जवाब थे तेरे पास सभी
तेरी एक निगाह में आ गए।

Advertisement

Aye Waiz-e-Nadaan Karta Hai
Tu Ek Qayamat Ka Charcha,
Yehan Roj Nigaahein Milti Hain
Yehan Roj Qayamat Hoti Hai.
ऐ वाइज़-ए-नादाँ करता है
तू एक क़यामत का चर्चा,
यहाँ रोज़ निगाहें मिलती हैं
यहाँ रोज़ क़यामत होती है।

Uss Ki Udaas Aankhon Mein Najar Aata Tha
Saara Jahaan Mujh Ko,
Afsos Unn Aankhon Mein Kabhi
Khud Ko Nahi Dekha Maine.
उस की आँखों में नज़र आता था
सारा जहाँ मुझ को,
अफ़सोस उन आँखों में कभी
खुद को नहीं देखा मैंने।

Aankhein Shayari, Dekhi Hain Tumhari Aankhein

Shayari on Eyes, KhoobSurat Aankhon Mein

Comments