Two line Shayari on Insaniyat (Humanity)

Shayari Collection about Insaan and Insaaniyat

Advertisement

Humanity Insaniyat Shayari

Pahle Jamin Banti Phir Ghar Bhi Bant Gaya,
Insaan Apne Aap Mein Kitna Simat Gaya.
पहले ज़मीं बँटी फिर घर भी बँट गया,
इंसान अपने आप में कितना सिमट गया।

Hukoomat Baajuon Ke Zor Par Toh Koyi Bhi Kar Le,
Jo Sabke Dil Pe Chha Jaaye Use Insaan Kahte Hain.
हुकूमत बाजुओं के ज़ोर पर तो कोई भी कर ले,
जो सबके दिल पे छा जाए उसे इंसान कहते हैं।

Aayina Koi Aisa Banaa De Aye Khuda,
Jo Insaan Ka Chehra Nahi Kirdaar Dikha De.
आइना कोई ऐसा बना दे, ऐ खुदा जो,
इंसान का चेहरा नहीं किरदार दिखा दे।

Insaan Ki Khwahishon Ki Koi Inteha Nahi,
Do Gaz Zamin Bhi Chahiye Do Gaz Kafan Ke Baad.
इंसाँ की ख़्वाहिशों की कोई इंतिहा नहीं,
दो गज़ ज़मीं भी चाहिए दो गज़ कफ़न के बाद।

Humari Aarjuon Ne Humein Insaan Bana Dala,
Varna Jab Jahaan Mein Aaye The Bande The Khuda Ke.
​​हमारी आरजूओं ने हमें इंसान बना डाला​,
​वरना जब जहां में आये थे बन्दे ​​​थे खुदा के​।​

Two Line Insaniyat Shayari in Hindi

Fitrat Soch Aur Halaat Mein Farq Hai Verna,
Insaan Kaisa Bhi Ho Dil Ka Bura Nahi Hota.
फितरत सोच और हालात में फर्क है वरना,
इन्सान कैसा भी हो दिल का बुरा नहीं होता।

Hum Khuda The Gar Na Hota Dil Mein Koi Mudda,
Aarzuon Ne Humari Humko Bandaa Kar Diya.
हम खुदा थे गर न होता दिल में कोई मुद्दा,
आरजूओं ने हमारी हमको बंदा कर दिया।

Jinhein Mahsoos Insaano Ke Ranjo-Gham Nahi Hote,
Woh Insaan Bhi Hargij Pattharon Se Kam Nahi Hote.
जिन्हें महसूस इंसानों के रंजो-गम नहीं होते,
वो इंसान भी हरगिज पत्थरों से कम नहीं होते।

Advertisement

Chand Sikkon Mein Bikta Hai Yeha Insaan Ka Zamir,
Kaun Kehta Hai Mere Mulk Mein Mehgayi Bahut Hai.
चंद सिक्कों में बिकता है यहाँ इंसान का ज़मीर,
कौन कहता है मेरे मुल्क में महंगाई बहुत है।

Dil Ke Mandiron Mein Kahin Bandgi Nahi Karte,
Patthar Ki Imarto Mein Khuda Dhoondhte Hain Log.
दिल के मंदिरों में कहीं बंदगी नहीं करते,
पत्थर की इमारतों में खुदा ढूंढ़ते हैं लोग।

Jism Ki Saari Ragein Toh Syaah Khoon Se Bhar Gayin,
Fakr Se Kehte Hain Phir Bhi Hum Ke Hum Insaan Hain.
जिस्म की सारी रगें तो स्याह खून से भर गयी हैं,
फक्र से कहते हैं फिर भी हम कि हम इंसान हैं।

Insaaniyat Ki Roshni Gumm Ho Gayi Kahan,
Saaye Toh Hain Aadmi Ke Magar Aadmi Kahan?
इन्सानियत की रौशनी गुम हो गई कहाँ,
साए तो हैं आदमी के मगर आदमी कहाँ?

Dekhein Kareeb Se Toh Bhi Achchha Dikhai De,
Ik Aadmi Toh Mere Shahar Mein Aisa Dikhai De.
देखें करीब से तो भी अच्छा दिखाई दे,
इक आदमी तो शहर में ऐसा दिखाई दे।

Meri Jubaan Ke Mausam Badalte Rahte Hain,
Main Toh Aadmi Hun Mera Aitbaar Mat Karna.
मेरी जबान के मौसम बदलते रहते हैं,
मैं तो आदमी हूँ मेरा ऐतबार मत करना।

Two Line Aadmi Shayari

Khuda Na Badal Saka Aadmi Ko Aaj Bhi Yaaron,
Aur Aadmi Ne Saikado Khuda Badal Daale.
खुदा न बदल सका आदमी को आज भी यारों,
और आदमी ने सैकड़ो खुदा बदल डाले।

Har Aadmi Mein Hote Hain Das Bees Aadmi,
Jisko Bhi Dekhna Kayi Baar Dekhna.
हर आदमी होते हैं दस बीस आदमी...
जिसको भी देखना कई बार देखना।

Ilm-o-Adab Ke Saare Khajane Gujar Gaye,
Kya Khoob The Wo Log Puraane Gujar Gaye,
Baaki Hai Bas Zamin Pe Aadmi Ki Bheed,
Insaan Ko Mare Hue Toh Zamane Gujar Gaye.
इल्म-ओ-अदब के सारे खजाने गुजर गए,
क्या खूब थे वो लोग पुराने गुजर गए,
बाकी है बस जमीं पे आदमी की भीड़,
इंसान को मरे हुए तो ज़माने गुजर गए।

Advertisement

Mir Two Line Shayari Collection

Iqbal Two Line Shayari

Comments