Khafa Shayari Collection

Best Khafa Shayari in Hindi

Advertisement

Har Baar Ilzaam Hum Par Hi Lagana Theek Nahi,
Wafa Khud Se Nahi Hoti Khafa Hum Par Hote Ho.
हर बार इल्जाम हम पर लगाना ठीक नहीं,
वफ़ा खुद से नहीं होती खफा हम पर होते हो।

Woh Dhoondh Rahe The Mujhko Bhool Jane Ke Tareeke,
Khafa Ho Kar Unki Mushkil Aasaan Kar Di Humne.
वो ढूढ़ रहे थे मुझ को भूल जाने के तरीके,
खफा हो कर उनकी मुश्किल आसान कर दी हमने।

Woh Aaye The Mera Dukh-Dard Baantne Ke Liye,
Mujhe Khush Dekha To Khafa Ho Kar Chal Diye.
वो आए थे मेरा दुख-दर्द बाँटने के लिए,
मुझे खुश देखा तो खफा होकर चल दिये।

Thodi Thodi Hi Sahi Magar Baatein To Kiya Karo,
Chupchap Rehti Ho To Khafa Khafa Si Lagti Ho.
थोडी थोडी ही सही मगर बाते तो किया करो,
चुपचाप रहती हो तो खफा खफा सी लगती हो।

Roothh Jana Toh Mohabbat Ki Alamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Woh Itna Khafa Ho Jayega.
रूठ जाना तो मोहब्बत की अलामत है मगर,
क्या खबर थी मुझ से वो इतना खफा हो जाएगा।

Advertisement

Log Kehte Hain Ke Ab Bhi Khafa Hai Mujhse,
Teri Aankhon Ne Toh Kuchh Aur Kaha Hai Mujhse.
लोग कहते हैं कि तू अब भी ख़फ़ा है मुझसे,
तेरी आँखों ने तो कुछ और कहा है मुझसे।

Todkar Ahd-e-Karam Na Aashna Ho Jaiye,
BandaParvar Jaiye Achha Khafa Ho Jaiye.
तोड़कर अहदे-करम न आशना हो जाइये,
बंदापरवर जाइये अच्छा खफा हो जाइये।

Kamal Ka Shakhs Tha Jisne Zindgi Tabaah Kar Di,
Raaz Ki Baat Hai Dil Uss Se Khafa Ab Bhi Nahi.
कमाल का शख्स था जिसने ज़िंदगी तबाह कर दी,
राज़ की बात है दिल उससे खफा अब भी नहीं।

Kis Kis Ko Batayenge Judai Ka Sabab Hum,
Tu Mujhse Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa.
किस-किस को बताएँगे जुदाई का सबब हम,
तू मुझ से खफा है, तो जमाने के लिए आ।

Itna Toh Bataa Jaao Khafa Hone Se Pehle,
Woh Kya Karein Jo Tum Se Khafa Ho Nahi Sakte.
इतना तो बता जाओ खफा होने से पहले,
वो क्या करें जो तुम से खफा हो नहीं सकते।

Ajeeb Shakhs Hai Bhed Hi Na Khulte Uss Ke,
Jab Bhi Dekhun Toh Duniya Se Khafa Hi Dekhun.
अजीब शख्स है भेद ही ना खुलते उसके,
जब भी देखूं तो दुनिया से खफा ही देखूं।

Advertisement

Aadat Shayari, Muskurane Ki Aadat

Two Line Deedar Shayari Collection

Comments