Two Line Shayari, Yehan Libaas Ki Keemat

Touching Two Line Shayaris in Hindi

Advertisement

Two Line Shayari, Yehan Libaas Ki Keemat

Yehan Libaas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi,
Mujhe Gilaas Bade De Sharaab Kam Kar De.
यहाँ लिबास की कीमत है आदमी की नहीं,
मुझे गिलास बड़े दे शराब कम कर दे।

Karte Hai Meri Khamiyon Ko Bayaan Aise,
Log Apne Kirdar Mein Farishte Hon Jaise.
करते हैं मेरी कमियों को बयान ऐसे,
लोग अपने किरदार में फ़रिश्ते हों जैसे।

Advertisement

Har Shakhs Daudta Hai Yahan Bheed Ki Taraf,
Fir Bhi Chahta Hai Use Raasta Mile.
हर शख्स दौड़ता है यहाँ भीड़ की तरफ,
फिर भी चाहता है उसे रास्ता मिले।

Kaun Si Cheej Mahngayi Ki Bulandi Pe Nahi,
Khoon-Kharab Magar Iss Daur Ne Sasta Rakha.
कौन सी चीज़ महंगाई की बुलंदी पे नहीं,
खून-खराबा मगर इस दौर ने सस्ता रखा।

Tahzeeb Ke Khilaaf Hua Sach Ka Bolna,
Ab Jhoothh Zindagi Ke Saleeke Mein Aa Gaya.
तहज़ीब के खिलाफ हुआ सच का बोलना,
अब झूठ ज़िन्दगी के सलीक़े में आ गया।

Yeh Jo Halaat Hain Ek Roj Sudhar Jayenge,
Par Kayi Log Mere Dil Se Utar Jayenge.
ये जो हालात हैं एक रोज सुधर जायेंगे,
पर कई लोग मेरे दिल से उतर जायेंगे।

Advertisement

Two Line Shayari, Hum Patthar Bane Rahe

Two Line Shayari, Chiraago Ka Safar

Comments