Mirza Ghalib Two Line Shayari Collection

Best Two Line Shayaris of Mirza Galib

Advertisement

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-War Bahot Achhe,
Kehte Hain Ki Ghalib Ka Hai Andaaz-e-Bayan Aur.
हैं और भी दुनिया में सुखन-वर बहुत अच्छे,
कहते हैं कि ग़ालिब का है अंदाज़-ए-बयाँ और।

Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Chehre Par Raunaq,
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai.
उनके देखने से जो आ जाती है चेहरे पर रौनक,
वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है।

Be-Khudi Be-Sabab Nahin Ghalib,
Kuchh Toh Hai Jis Ki Parda-Daari Hai.
बे-खुदी बे-सबब नहीं ग़ालिब,
कुछ तो है जिस की परदा-दारी है।

Yeh Na Thi Humari Kismat Ke Visaal-e-Yaar Hota,
Agar Aur Jeete Rehte, Yehi Intezaar Hota.
ये न थी हमारी किस्मत के विसाल-ए-यार होता,
अगर और जीते रहते यही इंतज़ार होता।

Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun,
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhenge Jawaab Mein.
कासिद के आते आते ख़त एक और लिख रखूँ,
मैं जानता हूँ जो वो लिखेंगे जवाब में।

Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hai Sau Tadbeerein,
Maut Kuchh Tum Toh Nahi Hai Ki Bula Bhi Na Saku.
तुम न आओगे तो मरने कि है सौ ताबीरें,
मौत कुछ तुम तो नहीं है कि बुला भी न सकूं।

Advertisement

Rone Se Aur Ishq Mein Be-Baak Ho Gaye,
Dhoye Gaye Hum Itne Ke Bas Paak Ho Gaye.
रोने से और इश्क में बे-बाक हो गए,
धोये गए हम इतने कि बस पाक हो गए।

Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr,
Kaaba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage.
ईमान मुझे रोके है जो खीचे है मुझे कुफ्र,
काबा मेरे पीछे है कायसा मेरे आगे।

Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes Ghalib,
Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain.
बना कर फकीरों का हम भेष ग़ालिब,
तमाशा एहल-ए-करम देखते हैं।

Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Reh Gaye,
Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha.
आईना देख के अपना सा मुँह लेके रह गए,
साहब को दिल न देने पे कितना गुरूर था।

Peene De Sharab Masjid Mein Baithkar,
Woh Jagah Bata Jahan Khuda Nahin.
पीने दे शराब मस्जिद में बैठ कर,
या वो जगह बता जहाँ ख़ुदा नहीं।

Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Assan Hona,
Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahin Insaan Hona.
बस की दुश्वार है हर काम का आसान होना,
आदमी को भी मयस्सर नहीं इंसान होना।

Bazicha-e-Atfal Hai Duniya Mere Aage,
Hota Hai Shab-o-Roz Tamasha Mere Aage.
बाज़ीचा-ए-अत्फाल है दुनिया मेरे आगे,
होता है शब-ओ-रोज तमाशा मेरे आगे।

Two Line Shayari, Kitni Roshan Meri Tanhai

Mirza Ghalib Ki Two Line Sad Shayari

Comments