Two Line Shayari

Advertisement

Two Line Shayari, Lekin Wo Mere Khwaab

Hindi Two Line Shayari Deep Meaning

Hona To Wohi Hai Jo Muqaddar Mein Likha Hai,
Lekin Wo Mere Khwaab, Mere Khwaab, Mere Khwaab.
होना तो वही है जो मुकद्दर में लिखा है,
लेकिन वो मेरे ख्वाब, मेरे ख्वाब, मेरे ख्वाब।

Na Jaane Kaun Se Jhonke Mein Meri Khushboo Ho,
Tum Apne Ghar Ka Dareecha Sada Khula Rakhna.
न जाने कौन से झोंके में मेरी खुशबू हो,
तुम अपने घर का दरीचा सदा खुला रखना।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Kis Hunar Ko Shayari Kehte Ho

Meaningful Shayaris in 2 Line

Naa Jaane Kis Hunar Ko Shayari Kehte Ho Tum,
Hum To Woh Likhte Hain Jo Tumse Keh Nahi Paate.
न जाने किस हुनर को शायरी कहते हो तुम,
हम तो वो लिखते हैं जो तुमसे कह नहीं पाते।

Jane Kis Hunar Ko Shayari Kehte Ho

Wo Ek Raat Jala To Use Chiragh Keh Diya,
Hum Barson Se Jal Rahe Hain Koi To Khitaab Do.
वो एक रात जला तो उसे चिराग कह दिया,
हम बरसों से जल रहे हैं कोई तो खिताब दो।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Zalzale Yoon Hi Besabab To Nahi Aate

2 Liner Shayaris in Hindi

ये ज़लज़ले यूं ही बेसबब तो नहीं आते,
ज़रूर ज़मीन के नीचे कोई दीवाना तड़पता होगा।

Ye Zalzale Yoon Hi Besabab To Nahi Aate,
Zaroor Zameen Ke Neeche Koi Deewana Tadapta Hoga.

किस लिए कतरा के जाता है मुसाफिर दम तो ले,
आज सूखा पेड़ हूँ कल तेरा साया मैं ही था।

Kis Liye Katra Ke Jata Hai Musafir Dum To Le,
Aaj Sukha Ped Hoon Kal Tera Saaya Main Hi Tha.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

2 Line Shayari, Nigaahon Se Gir Gaye

Popular Two Line Shayari Status

Girna Tha Jo Aapko Toh Sau Maqaam The,
Ye Kya Kiya Ke Nigaahon Se Gir Gaye.
गिरना था जो आपको तो सौ मक़ाम थे,
ये क्या किया कि निगाहों से गिर गए।

Two Line Shayari - Nigaahon Se Gir Gaye

Duniya Fareb Karke HunarMand Ho Gayi,
Hum Aitbaar Karke Gunaahgar Ho Gaye.
दुनिया फ़रेब करके हुनरमंद हो गई,
हम ऐतबार करके गुनाहगार हो गए।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Two Line Shayari, Agar Bikne Pe Aa Jao

Read Best Two Line Shayari in Hindi

Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।

Hua Savera Toh Hum Unke Naam Tak Bhool Gaye,
Jo Bujh Gaye Raat Mein Charagon Ki Lau Barhate Huye.
हुआ सवेरा तो हम उनके नाम तक भूल गए
जो बुझ गए रात में चरागों की लौ बढ़ाते हुए।

[ Read More Shayaris ]