Two Line Shayari, Shakhs Jo Shayar Banaa Gaya

Expressing Poignant Sentiments in Two Line Shayaris Hindi

Advertisement

Two Line Shayari, Shakhs Jo Shayar Banaa Gaya

Sitam Toh Yeh Hai Ke Zalim Sukhan-Shanaas Nahin,
Woh Ek Shakhs Jo Shayar Banaa Gaya Mujhko.
सितम तो ये है कि ज़ालिम सुखन-शनास नहीं,
वो एक शख्स जो शायर बना गया मुझको।

Unse Kehna Apni Kismat Pe Guroor Achha Nahi Hota,
Hum Ne Barish Mein Bhi Jalte Huye Ghar Dekhe Hain.
उनसे कहना अपनी किस्मत पे गुरूर अच्छा नहीं होता,
हम ने बारिश में भी जलते हुए घर देखे हैं।

Advertisement

Shaher Mein Sabko Kahan Milti Hai Rone Ki Jagah,
Apni Izzat Bhi Yehan Hansne Hansaane Se Rahi.
शहर में सबको कहाँ मिलती है रोने की जगह,
अपनी इज़्ज़त भी यहाँ हँसने हँसाने से रही।

Bhari Duniya Mein Koi Bhi Nazar Aata Nahi Apna,
Ek Daur Aisa Bhi Gujar Jaata Hai Insan Par.
भरी दुनिया में कोई भी नजर आता नहीं अपना,
एक दौर ऐसा भी गुजर जाता है इन्सां पर।

Tere Aazad Bando Ki Na Yeh Duniya Na Woh Duniya,
Yehan Marne Ki Pabandi, Wahan Jeene Ki Pabandi.
तेरे आज़ाद बन्दों की ना ये दुनिया ना वो दुनिया,
यहाँ मरने की पाबंदी, वहां जीने की पाबंदी।

Advertisement

Two Line Shayari, Chiraago Ka Safar

Two Line Shayari, Hai Ehtmaam Kiske Liye

Comments