Read Shayari in Hindi

Advertisement
Hindi Shayari

Ghalib Shayari, Andaaz-E-Guftgu Kya Hai

Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai,
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-E-Guftgu Kya Hai.

Na Shole Mein Ye Karishma Na Vark Mein Ye Adaa,
Koyi Batao Ki Woh Shokhe-Tund-Khoo Kya Hai.

Ye Rashk Hai Ki Woh Hota Hai HumSukhan Tumse,
Vargana Khaufe-Bad-Amojiye-Adoo Kya Hai.

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal,
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Sad Shayari

Sad Shayari, Meri Tumhare Liye Tadap

Zindagi Ke Kisi Mod Par
Agar Tum Laut Bhi Aaye To Kya Hai.
Woh Lamhaat, Woh Jazbat,
Woh Andaaz To Na Ab Lautenge Kabhi.
Aur...
Shayad Meri Tumhare Liye Tadap Bhi.

जिंदगी के किसी मोड़ पर
अगर तुम लौट भी आये तो क्या है,
वो लम्हात, वो जज्बात,
वो अंदाज तो ना अब लौटेंगे कभी।
और...
शायद मेरी तुम्हारे लिए तड़प भी।

Advertisement
Hindi Shayari

Hindi Shayari, Muqaddar Rooth Jata Hai

Kadam Do Char Chalta Hoon,
Muqaddar Rooth Jata Hai,
Har Ek Umeed Se Rishta,
Humara Toot Jata Hai,
Zamane Ko Sambhalu Gar,
To Tum Se Door Hota Hoon,
Tera Daman Sambhalu To,
Zamana Chhoot Jata Hai!

कदम दो चार चलता हूँ,
मुकद्दर रूठ जाता है,
हर इक उम्मीद से
रिश्ता हमारा टूट जाता है,
जमाने को सम्भालूँ गर
तो तुमसे दूर होता हूँ,
तेरा दामन सम्भालूँ तो,
जमाना छूट जाता है।

Advertisement
Attitude Shayari

Attitude Shayari, Koshish Yehi Rahti Hai

Attitude Shayari, Koshish Yehi Rahti Hai

Koshish Yehi Rahti Hai Ki
Humse Kabhi Koyi Ruthe Na,
Magar Nazar Andaaz Karne Wale Ko
Palat Kar Hum Bhi Nahi Dekhte.
कोशिश यही रहती है कि
हमसे कभी कोई रूठे ना,
मगर नजर अंदाज करने वालो को
पलट कर हम भी नही देखते।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Hindi Shayari

Hindi Shayari, Nigaaho Ke Takaaje

Nigaaho Ke Takaaje
Chain Se Marne Nahi Dete,
Yahan Manjar Hi Aise Hain
Ke Dil Bharne Nahi Dete,
Kalam Main To Utha Kar
Jaane Kab Ka Rakh Chuka Hota,
Magar Tum Ho Ke Kissa
Mukhtsar Karne Nahi Dete!

निगाहों के तक़ाज़े
चैन से मरने नहीं देते,
यहाँ मंज़र ही ऐसे हैं
कि दिल भरने नहीं देते,
क़लम मैं तो उठा कर
जाने कब का रख चुका होता,
मगर तुम हो कि क़िस्सा
मुख़्तसर करने नहीं देते।

178910Next ›