Gam Shayari, Gam Se Nijaat Kya Maangu

Dilkash Hindi Gam Shayari

Advertisement

Gam Shayari, Gam Se Nijaat Kya Maangu

Bichhad Gaye Hain Jo Unka Saath Kya Maangu,
Jara Si Umr Baqi Hai Gam Se Nijaat Kya Maangu,
Woh Saath Hote To Hoti Zaruratein Bhi Hamein,
Apne Akele Ke Liye Kaynaat Kya Maangu.
बिछड़ गए हैं जो उनका साथ क्या मांगू,
ज़रा सी उम्र बाकी है इस गम से निजात क्या मांगू,
वो साथ होते तो होती ज़रूरतें भी हमें,
अपने अकेले के लिए कायनात क्या मांगू।

Advertisement

Yaadon Mein Humari Woh Bhi Kabhi Khoye Honge,
Khuli Aankhon Se Kabhi Woh Bhi Kabhi Soye Honge,
Maana Hansna Hai Adaa Gham Chhupane Ki,
Par Hanste Hanste Kabhi Woh Bhi Roye Honge.
यादों में हमारी वो भी कभी खोए होंगे,
खुली आँखों से कभी वो भी सोए होंगे,
माना हँसना है अदा ग़म छुपाने की,
पर हँसते-हँसते कभी वो भी रोए होंगे।

Tere Haseen Tasawwur Ka Aasra Lekar,
Dukhon Ke Kaante Main Saare Samet Leta Hun,
Tumahar Naam Hi Kaafi Hai Raahat-e-Jaan Ke Liye,
JisSe Ghamon Ki Tej Hawaaon Ko Mod Leta Hun.
तेरे हसीन तस्सवुर का आसरा लेकर,
दुखों के काँटे मैं सारे समेट लेता हूँ,
तुम्हारा नाम ही काफी है राहत-ए-जां के लिए,
जिससे ग़मों की तेज हवाओं को मोड़ देता हूँ।

Gham Shayari, Gham Ke Kisse

Gham Shayari, Gham Ka Karz

Comments