दिल की खामोशी से साँसों के ठहर जाने तक,
याद आएगा मुझे शख्स वो मर जाने तक,
उसने उल्फत के भी पैमाने बना रखे थे,
मैने चाहा था उसे हद से गुजर जाने तक।
Dil Ki Khamoshi Se Saanson Ke Thehar Jaane Tak,
Yaad Aayega Mujhe Shakhs Wo Mar Jaane Tak,
Usne Ulfat Ke Bhi Paimane Bana Rakhe The,
Maine Chaha Tha Usey Hadd Se Gujar Jaane Tak.
मुझको पाना है तो मुझमें उतर कर देखो,
यूँ किनारों से समुंदर को देखा नहीं जाता।
Mujhko Pana Hai Toh Mujhme Utar Kar Dekho,
Yoon Kinaaron Se Samundar Ko Dekha Nahi Jata.
किरदार में मेरे भले ही अदाकारियां नहीं हैं,
खुद्दारी है, गुरूर है पर मक्कारियां नहीं हैं।
Kirdaar Mein Mere Bhale Hi AdaaKariyan Nahi Hain,
Khuddari Hai, Guroor Hai Par Makkariyan Nahin Hain.
ये तो दिल था दीवाना जो तुम पर आ गया,
वरना हम ज़िन्दगी दाँव पर लगाया नहीं करते।
Ye To Dil Tha Deewana Jo Tum Par Aa Gaya,
Warna Hum Zindagi Daanv Pe Lagaya Nahi Karte.
[ Read More Shayaris ]
Whether you are a lover of poetry or just looking for a way to express your emotions, Shayari is a wonderful way to connect with your inner self and the world around you. Our vastest collection of Shayari, SMS and Hindi Status classified in different categories like Love shayari, Sad Shayari, Life Shayari, Funny Shayari, Painful shayari, Friendship shayari, Two Line Shayari etc for easy navigation. If you are seeking something specific, you can search with your desired keyword. These Shayaris can be shared with girlfriend, boyfriend, husband, wife or friends on social media like Instagram, Facebook or Whatsapp.
एक दो रोज में हर आँख ऊब जाती है,
मुझको मंजिल नहीं रास्ता समझने लगते हैं,
जिनको हासिल नहीं वो जान देते रहते हैं,
जिनको मिल जाऊं वो सस्ता समझने लगते हैं।
Ek Do Roj Mein Har Aankh Oob Jaati Hai,
Mujhko Manjil Nahi Rasta Samajhne Lagte Hain,
Jinko Haasil Nahi Wo Jaan Dete Rehte Hain,
Jinko Mil Jaaun Wo Sasta Samajhne Lagte Hain.
[ Read More Shayaris ]
हर शख्स नहीं होता हर शख्स के काबिल,
हर शख्स को अपने लिए सोचा नहीं करते।
Har Shakhs Nahin Hota Har Shakhs Ke Kabil,
Har Shakhs Ko Apne Liye Socha Nahin Karte.
तारीख हजार साल में बस इतनी सी बदली है,
तब दौर पत्थर का था अब लोग पत्थर के हैं।
Tareekh Hajaar Saal Mein Bas Itni Si Badali Hai,
Tab Daur Patthar Ka Tha Ab Log Patthar Ke Hain.
उसके लफ्जों के मुकाबिल मैं भला क्या कहता,
मैंने हैरान ही रहने में सहूलत देखी।
Uske Lafzon Ke Mukaabil Main Bhala Kya Kehta,
Main Ne Hairaan Hi Rehne Mein Sahoolat Dekhi.
[ Read More Shayaris ]
All Shayari, Status and SMS are now available in both Hindi and English script. We update our collection regularly and add new and uniques shayaris and images. If something touches your heart, you can explain your feelings in comment box.