Attitude Shayari, Samandar Baha Dene Ka Jigar
Nice Collection of Hindi High Attitude Shayari
Samandar Baha Dene Ka Jigar Toh Rakhte Hain Lekin,
Humein Aashiqi Ki Numaish Ki Aadat Nahi Hai Dost.
समंदर बहा देने का जिगर तो रखते हैं लेकिन,
हमें आशिक़ी की नुमाइश की आदत नहीं है दोस्त।

Mere Baare Mein Apni Soch Ko Thhoda Badal Ke Dekh,
Mujhse Bhi Bure Hain Log Tu Ghar Se Nikal Ke Dekh.
मेरे बारे में अपनी सोच को थोड़ा बदल के देख,
मुझसे भी बुरे हैं लोग तू घर से निकल के देख।
Haadson Ki Jad Mein Hain Toh Kya Muskurana Chhod Dein,
Jaljalon Ke Khauf Se Kya Ghar Banana Chhod Dein.
हादसों की ज़द में हैं तो क्या मुस्कुराना छोड़ दें,
जलजलों के खौफ से क्या घर बनाना छोड़ दें?
Maar Hi Dale Jo Be-Maut Yeh Duniya Wale,
Hum Jo Zinda Hain Toh Jeene Ka Hunar Rakhte Hain.
मार ही डाले जो बे मौत ये दुनिया वाले,
हम जो जिन्दा हैं तो जीने का हुनर रखते है।
Meri Himmat Ko Parakhne Ki Gustakhi Na Karna,
Pehle Bhi Kayi Toofano Ka Rukh Mor Chuka Hu.
मेरी हिम्मत को परखने की गुस्ताखी न करना,
पहले भी कई तूफानों का रुख मोड़ चुका हूँ।