Shayari Dil Ki Baat Na Maani Jaaye
Best Heart Shayari Status in Hindi
Sab Khasaaron Ko Jama Kar Ke Ye Haasil Nikla,
Dil-e-Nadaan Ki Koi Baat Na Maani Jaaye.
सब खसारों को जमा करके ये हासिल निकला,
दिल-ए-नादाँ की कोई बात न मानी जाये।
Jaane Wale Dil Ko Patthar Kar Gaye,
Fir Kisi Ko Dekh Kar Dil Dhadka Hi Nahin.
जाने वाले दिल को पत्थर कर गए,
फिर किसी को देख कर दिल धड़का ही नहीं।
Behtar To Hai Yahi Ki Na Duniya Se Dil Lage,
Par Kya Karein Jo Kaam Na Be-Dil-Lagi Chale.
बेहतर तो है यही कि न दुनिया से दिल लगे,
पर क्या करें जो काम न बे-दिल-लगी चले।
Bas Ek Jhijhak Hai Yahi Haal-e-Dil Sunaane Mein,
Ki Tera Zikr Bhi Aayega Iss Fasane Mein.
है एक झिझक यही हाल-ए-दिल सुनाने में,
कि तेरा ज़िक्र भी आएगा इस फ़साने में।
Dil Ab Pehle Jaisa Masoom Nahi Raha,
Patthar To Nahi, Magar Ab Mom Bhi Nahi Raha.
दिल अब पहले जैसा मासूम नहीं रहा,
पत्थर तो नहीं, मगर अब मोम भी नहीं रहा।