Tumhari Nafraton Se Humein Pyar
Hindi Hate Shayari for Boyes and Girls
Na Jaane Kis Shakhs Ka Intezaar Humein Aaj Bhi Hai,
Sukoon To Bahut Hai Par Dil BeQarar Aaj Bhi Hai,
Tumne Humein Nafraton Ke Siwa Kuchh Nahi Diya,
Lekin Tumhari Nafraton Se Humein Pyar Aaj Bhi Hai.
न जाने किस शख्स का इंतज़ार हमें आज भी है,
सुकून तो बहुत है पर दिल बेकरार आज भी है,
तुमने हमें नफ़रतों के सिवा कुछ नहीं दिया,
लेकिन तुम्हारी नफरतों से हमें प्यार आज भी है।
Wo Jazbo Ki Tizarat Thi, Ye Dil Kuchh Aur Hi Samjha,
Use Hansne Ki Aadat Thi, Ye Dil Kuchh Aur Hi Samjha,
Mujhe Wo Dekh Kar Aksar Nigaahein Fer Leta Tha,
Wo Dar-e-Parda Hikarat Thi Ye Dil Kuchh Aur Hi Samjha.
वो जज़्बों की तिजारत थी, ये दिल कुछ और समझा था,
उसे हँसने की आदत थी, ये दिल कुछ और समझा था,
मुझे वो देख कर अक्सर निगाहें फेर लेते थे,
वो दर-ए-पर्दा हकारत थी, ये दिल कुछ और समझा था।