Mirza Ghalib Ki Two Line Sad Shayari

मिर्ज़ा ग़ालिब की दर्द भरी दो लाईन शायरी

Advertisement

Mirza Ghalib Ki Two Line Sad Shayari

Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya,
Dard Ki Dawa Payi Dard Be Dawa Paya.
इश्क से तबियत ने जीस्त का मजा पाया,
दर्द की दवा पाई दर्द बे-दवा पाया।

Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumaar Yaad,
Mujhse Mere Gunah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang.
आता है दाग-ए-हसरत-ए-दिल का शुमार याद,
मुझसे मेरे गुनाह का हिसाब ऐ खुदा न माँग।

Aaya Hai Be-Kasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib,
Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad.
आया है बे-कसी-ए-इश्क पे रोना ग़ालिब,
किसके घर जायेगा सैलाब-ए-बला मेरे बाद।

Teri Wafaa Se Kya Ho Talafi Ki Dahar Mein,
Tere Siwa Bhi Hum Pe Bahut Se Sitam Hue.
तेरी वफ़ा से क्या हो तलाफी की दहर में,
तेरे सिवा भी हम पे बहुत से सितम हुए।

Mirza Ghalib Ki Two Line Hindi Shayari

Advertisement

Ki Humse Wafaa To Gair Usko Jafa Kehte Hain,
Hoti Aayi Hai, Ki Achchhi Ko Buri Kehte Hain.
की हमसे वफ़ा तो गैर उसको जफा कहते हैं,
होती आई है की अच्छी को बुरी कहते हैं।

Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din,
Baithe Rahe Tasawwur-e-Janaan Kiye Huye.
जी ढूंढ़ता है फिर वही फुर्सत के रात दिन,
बैठे रहे तसव्वुर-ए-जहान किये हुए।

Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata,
Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata.
कहते तो हो यूँ कहते, यूँ कहते जो यार आता,
सब कहने की बात है कुछ भी नहीं कहा जाता।

Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam,
Dil Mein Ab Tere Siwa Koyi Bhi Aabad Nahi.
चांदनी रात के खामोश सितारों की क़सम,
दिल में अब तेरे सिवा कोई भी आबाद नहीं।

Hindi Shayari of Mirza Ghalib

Aashiqi Sabr Talab Aur Tamanna Betab,
Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-E-Jigar Hone Tak.
आशिकी सब्र तलब और तमन्ना बेताब,
दिल का क्या रंग करूँ खून-ए-जिगर होने तक।

Mirza Ghalib Two Line Shayari Collection

Two Line Shayari, Na Fursat Na Khayal

Comments