Shayari Love Hindi, Mohabbat Ke Ishaare
Read Hindi Love Shayari Status for True Lovers
Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar,
Kitni Khamosh Mohabbat Ki Jubaan Hoti Hai.
राज़ खोल देते हैं नाजुक से इशारे अक्सर,
कितनी खामोश मोहब्बत की जुबान होती है।

Aankh Rakhte Ho Toh Uss Aankh Ki Tehreer Parho,
Munh Se Iqraar Na Karna Toh Hai Aadat Uski.
आँख रखते हो तो उस आँख की तहरीर पढ़ो,
मुँह से इकरार न करना तो है आदत उसकी।
Usko Har Chand Andheron Ne Nigalna Chaha,
Bujh Na Paaya Wo Mohabbat Ka Diya Hai Shayad.
उसको हर चंद अंधेरों ने निगलना चाहा,
बुझ न पाया वो मोहब्बत का दिया है शायद।
Koi Rishta Jo Na Hota, To Wo Khafa Kyun Hota?
Ye BeRukhi, Uski Mohabbat Ka Pata Deti Hai.
कोई रिश्ता जो न होता, तो वो खफा क्यों होता?
ये बेरुखी, उसकी मोहब्बत का पता देती है।
Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyada Hai Woh,
Khud Se Barh Kar Mujhe Rehti Hai Jarurat Uski.
मुझ में लगता है कि मुझ से ज्यादा है वो,
खुद से बढ़ कर मुझे रहती है जरुरत उसकी
Yehi Bahut Hai Ke Tumne Palat Ke Dekh Liya,
Yeh Lutf Bhi Meri Ummeed Se Kuchh Zyada Hai.
यही बहुत है कि तुमने पलट के देख लिया,
ये लुत्फ़ भी मेरी उम्मीद से कुछ ज्यादा है।

Lamhon Mein Qaid Kar De Jo Sadiyon Ki Chahatein,
Hasrat Rahi Ke Aisa Koi Apna Talabgar Ho.
लम्हों में क़ैद कर दे जो सदियों की चाहतें,
हसरत रही कि ऐसा कोई अपना तलबगार हो।