Read Shayari in Hindi

Advertisement
Desh Bhakti Shayari

Patriotic Shayari, Chhati Se Laga Lena Bharat Maa

Ek Sainik Ne Kya Khoob Kaha Hai...
Kisi Gajare Ki Khushbu Ko Mehakta Chhod Aaya Hu,
Meri Nanhi Si Chidiya Ko Chahakta Chhod Aaya Hu,
Mujhe Chhati Se Apni Tu Laga Lena Aye Bharat Maa,
Main Apni Maa Ki Baahon Ko Tarasta Chhod Aaya Hu.
Jai Hind.
एक सैनिक ने क्या खूब कहा है...
किसी गजरे की खुशबु को महकता छोड़ आया हूँ,
मेरी नन्ही सी चिड़िया को चहकता छोड़ आया हूँ,
मुझे छाती से अपनी तू लगा लेना ऐ भारत माँ,
मैं अपनी माँ की बाहों को तरसता छोड़ आया हूँ।
जय हिन्द.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Two Line Shayari

Khafa Shayari Collection

Har Baar Ilzaam Hum Par Hi Lagana Theek Nahi,
Wafa Khud Se Nahi Hoti Khafa Hum Par Hote Ho.
हर बार इल्जाम हम पर लगाना ठीक नहीं,
वफ़ा खुद से नहीं होती खफा हम पर होते हो।

Woh Dhoondh Rahe The Mujhko Bhool Jane Ke Tareeke,
Khafa Ho Kar Unki Mushkil Aasaan Kar Di Humne.
वो ढूढ़ रहे थे मुझ को भूल जाने के तरीके,
खफा हो कर उनकी मुश्किल आसान कर दी हमने।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Friendship Shayari

Dosti Shayari, Khafa Hone Se Darte Hain

Dosti Shayari, Khafa Hone Se Darte Hain

Gunaah Kar Ke Saza Se Darte Hain,
Zeher Pee Ke Dawa Se Darte Hain,
Dushmano Ke Sitam Ka Khauf Nahi Humein,
Hum Dosto Ke Khafa Hone Se Darte Hain.
गुनाह करके सजा से डरते है,
ज़हर पी के दवा से डरते है,
दुश्मनो के सितम का खौफ नहीं हमे,
हम दोस्तों के खफा होने से डरते है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Sad Shayari

Sad Shayari, Sab Humse Khafa Rehte Hain

Sad Shayari, Sab Humse Khafa Rehte Hain

Jaane Kya Kami Hai Hum Mein Ya Khuda,
Jaane Kyu Sab Humse Khafa Rehte Hain,
Humne To Chaha Banana Sab Ko Apna,
Jaane Kyu Sab Humse Juda Rahte Hain.
जाने क्या कमी है हम में या खुदा,
जाने क्यूँ सब हम से खफा रहते हैं,
हमने तो चाहा बनाना सब को अपना,
जाने क्यूँ सब हमसे जुदा रहते हैं।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement
Heart Touching Lines

Heart Touching, Fanaah Ho Jayenge Ek Din

Heart Touching, Fanaah Ho Jayenge Ek Din

Kabhi Humne Socha Na Tha
Tumse Juda Ho Jayenge,
Saanse Khafa Ho Jayengi
Hum Dar-Ba-Dar Ho Jayenge,
Khwabon Me Aakar Is Kadar
Humko Jalaya Na Karo,
Deewane Hain Deewano Ka Kya
Ek Din Fanaah Ho Jayenge.

कभी हमने सोचा न था,
तुमसे जुदा हो जायेंगे,
सांसे खफा हो जायेंगी,
हम दर-बदर हो जायेंगे,
ख्वाबों में आकर इस-कदर,
हमको जलाया ना करो,
दीवाने हैं, दीवानों का क्या,
इक दिन फना हो जायेंगे।

178910Next ›