नहीं सिर्फ जश्न-ए-आजादी मनाना,
नहीं सिर्फ झंडे लहराना,
ये काफी नहीं है वतन परस्ती,
यादों को उनकी नहीं भुलाना,
जो कुर्बान हुए हैं देश पर,
उनके सपनों को आगे बढ़ाना,
जाति और धर्म से ज्यादा
प्रेम वतन के लिए लुटाना।
Nahi Sirf Jashn-e-Aazadi Manana,
Nahi Sirf Jhande Lehrana,
Yeh Kaafi Nahi Hai WatanParasti,
Yaadon Ko Unki Nahi Bhulana,
Jo Qurbaan Huye Hain Desh Par,
Unke Sapno Ko Aage Badhana,
Jaati Aur Dharm Se Zyada,
Prem Watan Ke Liye Lutaana.
- Home
- Page-7
Read Best Shayari in Hindi
Shayari Tumhare Intezaar Se Mohabbat
तुम से मिलना तो एक ख्वाब सा लगता है,
मैने तुम्हारे इंतजार से मोहब्बत की है।
Tum Se Milna To Ek Khwaab Sa Lagta Hai,
Maine Tumhare Intezaar Se Mohabbat Ki Hai.

तुम आए हो न, शब-ए-इंतजार गुजरी है,
तलाश में है सहर, बार बार गुजरी है।
Tum Aaye Ho Na, Shab-e-Intezaar Gujri Hai,
Talaash Mein Hai Sahar, Baar Baar Gujri Hai.
मुझे यकीन है वो राह देखता तो होगा,
मैं सोचता हूँ मगर सोचने से क्या होगा।
Mujhe Yakeen Hai Wo Raah Dekhta To Hoga,
Main Sochta Hoon Magar Sochne Se Kya Hoga.
Har Lafz Mein Kahar Rakhte Hain
अपने हर लफ्ज में कहर रखते है हम,
रहें खामोश तो भी असर रखते है हम।
Apne Har Lafz Mein Kahar Rakhte Hain Hum,
Rahein Khaamosh To Bhi Asar Rakhte Hai Hum.
हम तो आँखों में संवरते हैं वहीं संवरेंगे,
हम नहीं जानते आईने कहाँ रखें हैं।
Hum To Aankhon Mein Sanwarte Hain Wahin Sanvrenge,
Hum Nahin Jante Aaine Kahaan Rakhein Hain.
यहाँ किसी को कोई रास्ता नहीं देता,
मुझे गिरा के अगर सँभल सको तो चलो।
Yehan Kisi Ko Koyi Rasta Nahi Deta,
Mujhe Gira Ke Agar Sambhal Sako To Chalo.
तिनका हूँ तो क्या हुआ वजूद है मेरा,
उड़ उड़ के हवा का रुख तो बताता हूँ।
Tinka Hoon To Kya Hua Wajood Hai Mera,
Ud Ud Ke Hawa Ka Rukh To Bataata Hoon.
Funny Shayari, Yaad Aane Lage Ghalib
याद आने लगे हैं चिचा गालिब,
ऐ इलाही... ये माजरा क्या है?
ताकता रहता हूँ हुस्न वालों को,
वर्ना इन आँखों का फायदा क्या है।
Yaad Aane Lage Hain Chicha Ghalib,
Ai ilaahi... Ye Maazara Kya Hai?
Taakta Rehta Hoon Husn Walon Ko,
Varna Inn Aankhon Ka Fayeda Kya Hai.

न मुझे किसी का दिल चाहिए,
न मुझे जमाने से कोई आस है,
जो अपनी गर्लफ्रेंड की पप्पी दिलवा दे,
मुझे बस ऐसे दोस्त की तलाश है।
Na Mujhe Kisi Ka Dil Chahiye,
Na Mujhe Jamane Se Koi Aas Hai,
Jo Apni Girlfriend Ki Pappi Dilwa De,
Mujhe Bas Aise Dost Ki Talaash Hai.
Gham Shayari, Dil Mein Kisi Ka Gam
अब अगर खुशी मिल भी गई तो कहाँ रखेंगे हम,
आँखों में हसरतें हैं और दिल में किसी का ग़म।
Ab Agar Khushi Mil Bhi Gayi To Kahaan Rakhenge Hum,
Aankhon Mein Hasraten Hain Aur Dil Mein Kisi Ka Gham.

तेरी एक खुशी की खातिर मैंने कितने गम छुपाये,
अगर मैं एक बार रोता तो तेरा शहर डूब जाता।
Teri Ek Khushi Ki Khaatir Main Ne Kitne Gham Chhupaaye,
Agar Main Ek Baar Rota To Tera Shahar Doob Jaata.
गमों को आबरू अपनी खुशी को ग़म समझते हैं,
जिन्हें कोई नहीं समझा उन्हें बस हम समझते हैं।
Ghamon Ko Aabroo Apani Khushi Ko Gham Samajhte Hain,
Jinhein Koi Nahin Samjha Unhein Bas Hum Samajhte Hain.