Dard Shayari, Ek Naya Dard
Painful Dard Shayari Lines from a Sad Lover
Kis Dard Ko Likhte Ho Itna Doob Kar,
Ek Naya Dard De Diya Hai Usne Yeh Puchh Kar.
किस दर्द को लिखते हो इतना डूब कर,
एक नया दर्द दे दिया है उसने ये पूछकर।
Ek Do Zakhm Nahin Jism Hai Saara Chhalni,
Dard Bechara Pareshaan Hai Kahan Se Nikle.
एक दो ज़ख्म नहीं जिस्म है सारा छलनी,
दर्द बेचारा परेशान है कहाँ से निकले।
Anjaan Agar Ho Toh Gujar Kyun Nahin Jaate,
Pahchan Rahe Ho Toh Thhehar Kyun Nahi Jaate.
अनजान अगर हो तो गुजर क्यूँ नहीं जाते,
पहचान रहे हो तो ठहर क्यूँ नहीं जाते।
Aadat Badal Si Gayi Hai Waqt Kaatne Ki,
Himmat Hi Nahi Hoti Apna Dard Baantne Ki.
आदत बदल सी गई है वक़्त काटने की,
हिम्मत ही नहीं होती अपना दर्द बांटने की।
Dard Sehne Ki Itni Aadat Si Ho Gayi Hai,
Ke Ab Dard Na Mile Toh Bahut Dard Hota Hai.
दर्द सहने की इतनी आदत सी हो गई है,
कि अब दर्द ना मिले तो बहुत दर्द होता है।

Baithhe Hain RahGujar Par Dil Ka Dia Jalaye,
Shayad Woh Dard Jaane Shayad Woh Laut Aaye.
बैठे है रहगुज़र पर दिल का दिया जलाये,
शायद वो दर्द जाने, शायद वो लौट आये।