कोई खबर भी उसे दे, तो क्या उम्मीद उससे,
न चोट देखी, न उस को ख्याल दर्द का है।
Koi Khabar Bhi Usey De, To Kya Ummeed Uss Se,
Na Chot Dekhi, Na Uss Ko Khayal Dard Ka Hai.
दर्द देती है, मुझे हमदर्दी हर शख्स की,
मेरी दुनिया उजाड़ी थी, किसी ने दिलासे देकर।
Dard Deti Hai, Mujhe Humdardi Har Shakhs Ki,
Meri Duniya Ujaadi Thi, Kisi Ne Dilaase Dekar.
दिल से बहता हुआ लहू महसूस हुआ मुझे,
आज फिर उसका नाम मिटाने की कोशिश की थी।
Dil Se Behta Hua Lahoo Mehsoos Hua Mujhe,
Aaj Fir Uska Naam Mitaane Ki Koshish Ki Thi.
मैं तुझको भूल चुका लेकिन एक उम्र के बाद,
तेरा ख्याल क्या था कि चोट उभर आयी।
Main TujhKo Bhool Chuka Lekin Ek Umar Ke Baad,
Tera Khayal Kya Tha Ke Chot Ubhar Aayi.
दर्द-ए-दिल की आह तुम न समझोगे कभी,
हर दर्द का मातम सर-ए-आम नहीं होता।
Dard-e-Dil Ki Aah Tum Na Samajhoge Kabhi,
Har Dard Ka Maatam Sar-e-Aam Nahi Hota.
Shayari Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka
Ek Dard-e-Wafa Sone Nahi Deta