Dard Shayari, Hum Patthar Ke Ho Gaye
Latest Dard Bhari Shayari in Hindi
लोग मुन्तज़िर ही रहे कि हमें टूटा हुआ देखें,
और हम थे कि दर्द सहते-सहते पत्थर के हो गए।
Log Muntzir Hi Rahe Ke Humein Toota Hua Dekhein,
Aur Hum The Ke Dard Sahte-Sahte Patthar Ke Ho Gaye.

पास जब तक वो रहे दर्द थमा रहता है,
फैलता जाता है फिर आँख के काजल की तरह।
Paas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rahta Hai,
Phailta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah.
शीशा टूटे और बिखर जाये वो बेहतर है,
दरारें ना जीने देती हैं ना मरने देती हैं।
Sheesha Toote Aur Bikhar Jaye Toh Behtar Hai,
Daraarein Na Jeene Deti Hain Na Marne Deti Hain.
जाने-तन्हा पे गुजर जायें हजारो सदमें,
आँख में अश्क भी आयें ये जरूरी तो नहीं।
Jaane-Tanha Pe Gujar Jayein Hajaro Sadmein,
Aankh Mein Ashq Bhi Aayein Yeh Jaroori To Nahi.
दर्द का मेरे यकीं आप करें या ना करें,
इल्तिजा है कि इस राज़ का चर्चा ना करें।
Dard Ka Mere Yakeen Aap Karein Ya Na Karein,
Intija Hai Ke Iss Raaz Ka Charcha Na Karein.