Humein Dekh Kar Jab Usne Munh Mod Liya,
Ek Tasalli Ho Gayi Chalo Pehchante Toh Hain.
हमें देख कर जब उसने मुँह मोड़ लिया,
एक तसल्ली हो गयी चलो पहचानते तो हैं।
Ab Dard Uthha Hai Toh Ghazal Bhi Hai Jaroori,
Pehle Bhi Hua Karta Tha Iss Baar Bahut Hai.
अब दर्द उठा है तो गज़ल भी है जरूरी,
पहले भी हुआ करता था इस बार बहुत है।
Mujhse Ai Aayine Meri Bekarariyan Na Poochh,
Toot Jayega Tu Bhi Meri Khamoshiyan Sun Ke.
मुझसे ऐ आईने मेरी बेकरारियाँ न पूछ,
टूट जाएगा तू भी मेरी खामोशियाँ सुन के।
Jabt Kehta Hai Ke Khamoshi Se Basar Ho Jaye,
Dard Ki Zid Hai Ke Duniya Ko Khabar Ho Jaye.
जब्त कहता है कि खामोशी से बसर हो जाये,
दर्द की जिद है कि दुनिया को खबर हो जाये।
Woh Lafz Kahan Se Laauon Jo Tujhko Mom Kar Dein,
Mera Wajood Pighal Raha Hai Teri Berukhi Se.
वो लफ्ज कहाँ से लाऊं जो तुझको मोम कर दें,
मेरा वजूद पिघल रहा है तेरी बेरूखी से।
Gham Saleeke Mein The Jab Tak Hum Khamosh The,
Jara Jubaan Kya Khuli Dard Be-Adab Ho Gaye.
ग़म सलीके में थे जब तक हम खामोश थे,
जरा जुबान क्या खुली दर्द बे-अदब हो गए।
Shayari Dard Chhupate Rahe
Dard Shayari, Ek Naya Dard