Dil Shayari, Dil Ki Adla-Badli
Short Dil Shayari Status for Whatsapp and Facebook
Chalo Dil Ki Adla-Badli Kar Lein,
Tadap Kya Hoti Hai Samajh Jaoge.
चलो दिल की अदला-बदली कर लें,
तड़प क्या होती है समझ जाओगे।
Ishtehaar De Do Ke Ye Dil Khali Hai,
Wo Jo Aaya Tha Kirayedaar Nikla.
इश्तेहार दे दो कि ये दिल खाली है,
वो जो आया था किरायेदार निकला।
Haadse Kuchh Dil Pe Aise Ho Gaye,
Hum Samndar Se Bhi Gehre Ho Gaye.
हादसे कुछ दिल पे ऐसे हो गये,
हम समंदर से भी गहरे हो गये।
Bahut Aasan Hai Pahchan Iski,
Agar Dukhta Nahi Hai Toh Dil Nahi Hai.
बहुत आसान है पहचान इसकी,
अगर दुखता नहीं तो दिल नहीं है।
Dil Maani Nahi Meri Varna,
Main Tujhe Bhoolne Ke Haq Mein Tha.
दिल ने मानी नहीं मेरी वरना,
मैं तुम्हे भूलने के हक़ में था।
Daag-e-Dil Se Bhi Roshni Na Mili,
Ye Dil Bhi Jala Ke Dikh Liya.
दाग़-ए-दिल से भी रौशनी न मिली,
ये दिया भी जला के देख लिया।