Dil Shayari, Beqarari Tujhe Ai Dil
Hindi Dil Shayari in Two Lines
Le Gaya Chheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qaraar,
Be-Qaraari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi Toh Na Thi.
ले गया छीन के कौन आज तेरा सब्र-ओ-करार,
बेक़रारी तुझे ऐ दिल कभी ऐसी तो न थी।
Maanind-e-Shama Yoon Toh Jale Hain Tamaam Umar.
Lekin Humaare Dil Ke Andhere Na Kam Huye.
मानिंद-ए-शमां यूँ तो जले हैं तमाम उम्र,
लेकिन हमारे दिल के अँधेरे न कम हुए।
Yeh Kah Ke Mere Dil Ne Mere Hausle Barhaye Hain,
Ghamon Ki Dhoop Ke Aage Khushi Ke Saaye Hain.
ये कह के दिल ने मेरे हौसले बढ़ाए हैं
ग़मों की धूप के आगे ख़ुशी के साए हैं।
Dil Churakar Aap Toh Baithhe Huye Hain Chain Se,
Dhoodhne Wale Se Puchhe Koi Kya Jata Raha.
दिल चुराकर आप तो बैठे हुए हैं चैन से,
ढूढ़ने वाले से पूछे कोई क्या जाता रहा।