Dooriyan Shayari, Doorie Aisi Hai Ke
Awesome Shayari about Distances
Doorie Aisi Hai Ke MitTi Hi Nahi Hai,
Mein Tere Paas Bhi Aaun Toh Kahan Tak Aaun.
दूरी ऐसी है कि मिटती ही नहीं है,
मैं तेरे पास भी आऊँ तो कहाँ तक आऊँ।
Tu Mujhse Dooriya Barhane Ka Shouq Pura Kar Le,
Meri Bhi Zid Hai Tujhe Har Duaa Mein Mangne Ki.
तू मुझसे दूरियां बढ़ाने का शौक पूरा कर ले,
मेरी भी ज़िद है तुझे हर दुआ में माँगने की।
Kareeb Aane Ki Unhein Fursat Hi Nahi,
Aur Mujhpe ilzam Laga Hai Doorie Banaane Ka.
करीब आने की उन्हें फुरसत ही नहीं,
और मुझपे इल्ज़ाम लगा है दूरी बनाने का।
Sabooton Ki Jarurat Pad Rahi Hai,
Yakeenan Dooriyan Ab Barh Rahin Hain.
सबूतों की ज़रूरत पड़ रही है,
यक़ीनन दूरियाँ अब बढ़ रही हैं।
Kal Raat Chaand Bilkul Unke Jaisa Tha,
Wahi Noor, Wahi Guroor, Wahi Suroor,
Wahi Unki Tarah Humse Koson Door.
कल रात चाँद बिकुल उनके जैसा था,
वही नूर वही गरूर वही सरूर,
वही उनकी तरह हमसे कोसों दूर।