Funny Shayari for Friends, Gadhe Humare Yaar
Doston Ke Liye Funny Shayari
Khuda Ke Ghar Se Kuchh Gadhe Faraar Ho Gaye,
Kuchh To Pakde Gaye Aur Kuchh Humare Yaar Ho gaye.
खुदा के घर से कुछ गधे फरार हो गए,
कुछ तो पकडे गए और कुछ हमारे यार हो गए।
Kuchh Dost 5 Ke Note Ki Tarah Hote Hain,
Jab Bhi Milenge Fatte-Haal Hi Milenge.
कुछ दोस्त 5 के नोट की तरह होते हैं,
जब भी मिलेंगे फटे-हाल ही मिलेंगे।
Wo Dost Umr Bhar Kya Saath Denge Jinhone,
Chauraahe Par Police Dekhkar Bike Se Utaar Diya.
वो दोस्त उम्र भर क्या साथ देंगे जिन्होंने,
चौराहे पर पुलिस देखकर बाइक से उतार दिया।
Matar Paneer Samajh Kar Dost Banaye The,
Saale Sab Ke Sab Tinde Nikle.
मटर पनीर समझ कर दोस्त बनाए थे,
साले सब के सब टिंडे निकले।
Karza Deta Mitra Ko, Woh Murkh Kehlaaye,
MahaMurkh Woh Yaar Hai, Jo Paise Lautaaye.
कर्जा देता मित्र को, वह मूर्ख कहलाए,
महामूर्ख वह यार है, जो पैसे लौटाए।
~ Hullad Muradabadi