Heart Touching Shayari, Main Raat Bhar Jaagunga
Dil Ko Chhoo Jaane Wali Shayari
जानता हूँ तुम सो गई हो मुझे पढ़ते हुए,
मगर मैं रात भर जागूँगा तुम्हें लिखते हुए।
Jaanta Hoon Tum So Gayi Ho Mujhe Parhte Huye,
Magar Main Raat Bhar Jaagunga Tumhein Likhte Hue.

जब तुम नहीं समझे तब मैंने खुद को,
कितना समझाया है ये तुम नहीं समझोगे।
Jab Tum Nahi Samajhe Tab Maine Khud Ko,
Kitna Samjhaya Hai Ye Tum Nahi Samjhoge.
सोच रहा हूँ कुछ ऐसा लिखूं कि वो,
पढ़ के रोये भी न और रात भर सोये भी न।
Soch Raha Hoon Kuchh Aisa Likhoon Ki Wo,
Padh Ke Roye Bhi Na Aur Raat Bhar Soye Bhi Na.
ऐ खुदा मुसीबत में डाल दे मुझे,
किसी ने बुरे वक्त में आने का वादा किया है।
Ai Khuda Musibat Mein Daal De Mujhe,
Kisi Ne Bure Waqt Mein Aane Ka Vaada Kiya Hai.
तुम मेरी ज़िंदगी में शामिल हो ऐसे,
मंदिर के दरवाज़े पर मन्नत के धागे हों जैसे।
Tum Meri Zindagi Mein Shamil Ho Aise,
Mandir Ke Darwaze Par Mannat Ke Dhaage Hon Jaise.
माना कि मुमकिन नहीं तेरा मेरा हो जाना,
पर सुना है दुनिया में चमत्कार बहुत होते है।
Mana Ke Mumkin Nahi Tera Mera Ho Jana,
Par Suna Hai Duniya Mein Chamatkar Bahut Hote Hain.