Ameeri Par Shayari, Ameeri Ka Shajar
Hindi Shayari on Richness in Two Lines
Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai,
Unka Har Aib Bhi Jamane Ko Hunar Lagta Hai.
जिन के आंगन में अमीरी का शजर लगता है,
उन का हर एब भी जमानें को हुनर लगता है।
Sari Galti Hum Apni Kismat Ki Kaise Nikal Dein
Kuchh Sath Humara Teri Ameeri Ne Bhi Toda Hai.
सारी गलती हम अपनी किस्मत की कैसे निकल दें,
कुछ साथ हमारा तेरी अमीरी ने भी तोडा है।
Tumse Mila Tha Pyar Kuchh Achhe Naseeb The,
Hum Unn Dino Ameer The Jab Tum Gareeb The.
तुमसे मिला था प्यार कुछ अच्छे नसीब थे,
हम उन दिनों अमीर थे जब तुम गरीब थे।
Kaise Banega Ameer Wo Hisaab Ka Kachha Bhikhari,
Ek Sikke Ke Badle Jo Besh-Keemti Duaayen Deta Hai.
कैसे बनेगा अमीर वो हिसाब का कच्चा भिखारी,
एक सिक्के के बदले जो बेशकीमती दुआये दे देता है।
Ameeron Ke Liye Beshaq Tamasha Hai Ye Jaljala,
Gareeb Ke Sar Pe To Aasmaan Tutaa Hoga.
अमीरों के लिए बेशक तमाशा है ये जलजला,
गरीब के सर पे तो आसमान टूटा होगा।