Hindi Shayari, Mere Mizaaj Ka Mausam

Shayari about Whatever Poet did not get

Advertisement

Main Khil Nahi Saka Ki Mujhe Nam Nahi Mila,
Saqi Mere Mizaaj Ka Mausam Nahi Mila.
मैं खिल नहीं सका कि मुझे नम नहीं मिला,
साक़ी मिरे मिज़ाज का मौसम नहीं मिला।

Mujh Mein Basi Huyi Thi Kisi Aur Ki Mehak,
Dil Bujh Gaya Ki Raat Woh Barhum Nahi Mila.
मुझ में बसी हुई थी किसी और की महक,
दिल बुझ गया कि रात वो बरहम नहीं मिला।

Advertisement

Bas Apne Samne Zara Aankhein Jhuki Rahi,
Varna Meri Anaa Mein Kahin Kham Nahi Mila.
बस अपने सामने ज़रा आँखें झुकी रहीं,
वर्ना मिरी अना में कहीं ख़म नहीं मिला।

Uss Se Tarah Tarah Ki Shikayat Rahi Magar,
Meri Taraf Se Ranj Use Kam Nahi Mila.
उस से तरह तरह की शिकायत रही मगर,
मेरी तरफ़ से रंज उसे कम नहीं मिला।

Ek Ek Kar Ke Log Bichhadate Chale Gaye,
Yeh Kya Hua Ke Wakfa-E-Matam Nahi Mila.
एक एक कर के लोग बिछड़ते चले गए,
ये क्या हुआ कि वक़्फ़ा-ए-मातम नहीं मिला।

Advertisement

Hindi Shayari, Karein Khoon Ka Daava Tujh Par

Hindi Shayari, Khayaalon Mein Sadaa

Comments