Shayari in Hindi, Meri Neki Ke Charche

Hindi Shayari with Complex Emotions and Feelings

Advertisement

मेरे नेकी के चर्चे रहे, ज़माने में कुछ इस तरह,
कि फरिश्ते मुझे ढूढ़ते, मेरे मकान तक आ गये,
मेरा सादगी से रहना ही, मेरा गुनाह हो गया,
कुछ जाहिलो के हाथ, मेरे गिरेबान तक आ गये।
Meri Neki Ke Charche Rahe, Zamane Mein Kuchh Iss Tarah,
Ki Farishte Mujhe Dhoodhte, Mere Makaan Tak Aa Gaye,
Mera Saadagi Se Rehna Hi, Mera Gunaah Ho Gaya,
Kuchh Jaahilo Ke Haath, Mere Girebaan Tak Aa Gaye.

हमें इस जीस्त से उम्मीद क्या थी और क्या निकला,
कहाँ जाना हुआ था तय कहाँ से रास्ता निकला,
खुदा जिनको समझते थे वो शीशा थे न पत्थर थे,
जिसे पत्थर समझते थे वही अपना खुदा निकला।
Humein Iss Zeest Se Ummeed Kya Thi Aur Kya Nikla,
Kahaan Jaana Hua Tha Tay Kahaan Se Raasta Nikla,
Khuda Jinko Samajhte The Wo Sheesha The Na Patthar The,
Jise Patthar Samajhte The Wahi Apna Khuda Nikla.

Advertisement

याद नहीं क्या-क्या देखा था सारे मंज़र भूल गए,
उसकी गलियों से जब लौटे अपना ही घर भूल गए,
खूब गए परदेस कि अपने दीवार-ओ-दर भूल गये,
शीश-महल ने ऐसा घेरा मिट्टी के घर भूल गए।
Yaad Nahi Kya-Kya Dekha Tha Saare Manzar Bhool Gaye,
Uss Ki Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye,
Khoob Gaye Pardesh Ki Apne Deewar-o-Dar Bhool Gaye,
Sheesh-Mahal Ne Aisa Ghera Mitti Ke Ghar Bhool Gaye.
~ Nazeer Baqri

Advertisement

Hindi Shayari, Fursat Na Mil Saki

Hindi Shayari, Asar Daulat Ka Hua

Comments